Main nay Rasool Allah (ï·º) ki ye baat yaad rakhi hai: Jo cheez tumhe shak may daal dey usey chor kar tum uss cheez ko ikhtiyar karo jo tumhe shak may na daley.
[Hukm: Sahih, Tahqiq: Sheikh Zubair Ali Zai (Rahimahullah)]
(Jami at-Tirmidhi, Kitab: Sifat Al-Qiyama, Hadees: 2018)
(Sunan Nisai, Kitab: Al-Ashriba, Hadees: 5714)
(Sahih Ibn Khuzaima, Hadees: 2348)
(Ibn Hibban, Hadees: 512)
(40 Hadees Nawawi: 11)
Shrah aur Fawaid
- Hadees may mashkook aur mushtaba cheezon ko chor kar aise umoor apnane ka hukm hai jo shak aur shuba say bala hain taa ki dil iztirab aur bechaini ka shikar na ho chahey woh dunyavi umoor hon ya akhirvi.
- Aadmi koyi kaam karne say pehle uss kay baare may pukhta ilm hasil kar ley taa ki kisi qism ka shak aur shuba baaqi na rahey aur kaam kar lene kay baad nadamat aur pachtawe ki nawbat na aaye.
- Sachchai ki 'alamat (nishani) dil ka sukoon hai aur jhoot ki nishani dil ki be itminani. Mazkoorah rivayat kay aakhir may ye alfaz bhee hain: kyun ki sachchai ba'as itminan hai aur jhoot ba'asey shak hai.
(Sharah Arbaeen Nawawi Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani)
0 Comments