Ghair Mutaliq Umoor se Ijtinab - Hadees 12


Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se rivayat hai:

Rasool Allah (ï·º) ne farmaya: Admi ke Islam ki ek khoobi ye hai ki jis m'amle se uss ka talluq nahi use chor de.

[Hukm: Zaif, Tahqiq: Sheikh Zubair Ali Zai (Rahimahullah); Hukm: Sahih, Tahqiq: Sheikh Albani (Rahimahullah)]

(Jami at-Tirmidhi, Kitab: al-zuhd, Hadees: 2317)
(Sunan Ibn Majah, Kitab: al-Fitan, Hadees: 3976)
(40 Hadees Nawawi, Hadees: 12) 

Shrah aur Fawaid

  • Laa-yaanii qaul wa amal tark kar dene se admi ke islam me khoobi aur behtari paida ho jati hai, iss tarah woh apne waqt aur zaban ki hifazat kar leta hai aur sukoon aur itminane qalb paa leta hai.
  • Laa-yaanii cheezon se murad woh aqwal aur a'amal hain jo admi se ghair mutaliq hote hain, apne se ghair mutaliq umoor me dakhal andazi se hee sare masail khade hote hain, agar admi unn ghair mutaliq umoor se kinara kashi ho kar apne mutaliq umoor me lag jaye to fizuliyat se bach kar nafa uthane me kamyab ho jaye.
  • Laa-yaanii umoor ko chor kar admi unn cheezon ko apni mashghuliyat banaye jo uss ke liye deen wa dunya dono me mufeed wa nafa bakhsh hon. Woh aisi hee cheezon ke liye apna poora waqt aur poori mehnat sarf kare. Rasool Allah (sallallahu alayhi wasallam) ka irshad hai: Taqatwar momin Allah ke nazdeeq kamzor momin se zyadah behtar aur mehboob hai. Aur har ek me bhalai hai. Apne liye nafa bakhsh cheezon ki haras rakho, Allah se madad talab karo aur aajiz ban kar na raho (Sahih Muslim, Kitab: al-Qadr, Hadees: 2669)

(Sharah Arbaeen Nawawi, Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani)

Meanings
1. Umoor - Bahot se kaam, bahot se ehkam, bahot see baaten, m'amlat.
2. Ijtinab - Pehlu bachana, kinara karna, door rehna.
3. Laa-yaanii - Bematlab, Fuzool, Befayedah, Benateeja.

Post a Comment

0 Comments