Niyat ki ahmiyat - Hadees 01 (40 Hadees Nawawi)





Ameerul Momineen Abu Hafs Umar bin Khattab (Radhi Allahu Anhu) rivayat karte hain:

Main nay Rasool Allah (ï·º) ko farmate huwe suna: Tamam 'amaal ka daromdaar niyato (intention) par hai aur har shakhs kay liye wahi kuch hai jis ki uss nay niyat ki. Chunanche jis ki hijrat (migration) Allah aur uss kay Rasool kay liye hai to uss ki hijrat Allah aur uss kay Rasool kay liye hee hai aur jis ki hijrat dunya hasil karney kay liye ya kisi aurat say nikah (shadi) karney ki khatir ho to uss ki hijrat usi cheez kay liye hai jis kay liye uss nay hijrat ki hai.

(Sahih Bukhari: 01, Sahih Muslim: 1907)
(40 Hadees Nawawi: 01) 

Shrah aur Fawaid

  • Iss hadees kay mutabiq ek qissa mashoor hai ki ek shakhs Madinah ki ek aurat say nikah karna chahta tha, lekin uss aurat nay hijrat kay baghair shadi karney say inkaar kar diya. Chunanche uss shakhs nay uss aurat say nikah ki khatir hijrat ki, isi wajah say unn ka laqab (title) muhajir umme Qais pad gaya. Lekin Hafiz Ibn Hajar (Rahimahullah) farmate hain ki kisi sahih sanad (chain of narration) say iss ki koyi asal hume maloom nahi hai.
  • Koyi bhee amal niyat kay baghair nahi hota. Insaan pehle dil may niyat karta hai phir uss ko 'amali shakal deta hai.
  • Ek musalman ko apni niyat ki islah aur durusti ki fikar hamesha rehni chahiyen. Woh apne har 'amal may aisi niyat karey jis say Allah Ta'ala ki qurbat aur uss ki jannat naseeb hone wali ho.
  • Iss hadees say ye baat saaf hai ki agar koyi shakhs nek 'amal Allah Ta'ala ki raza aur uss kay Rasool ki itaat aur mohabbat kay liye karey to uss ka 'amal Allah Ta'ala kay yahan maqbool aur uss shakhs kay liye ajr aur sawab hai aur woh Rasool ka farmabardaar aur itaat guzaar hai. Lekin agar koyi 'amal kisi aur niyat say kiya jaye jaise koyi dunyawi fayede kay liye ya uss 'amal may dikhawa ho to phir aise 'amal par koyi sawab na hoga.
(Shrah Arbaeen Nawawi Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani)

Post a Comment

0 Comments