About

Har tarah kee tareef Allah Ta'ala hee kay liye hai, hum uss ki tareef karte hain, usi say madad talab karte hain, usi say maghfirat chahtey hain aur hum apni nafs ki shararton aur apne a'amaal ki buraiyon say Allah Ta'ala ki panah chahtey hain. Jis shakhs ko Allah Ta'ala hidayat ataa farma dey usey koyi gumrah nahi kar sakta aur jis ko woh gumrah kar dey usey koyi hidayat nahi dey sakta aur main gawahi deta hoon ki Allah kay siwa koyi mabood haqeeqi nahi, aisi gawahi jo nijaat kay liye waseela aur buland darjaat kay liye zamin ho. 

Aur main gawahi deta hoon ki Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) uss kay bandey aur uss kay Rasool hain. Allah Ta'ala nay unhey unn halaat may Rasool bana kar bheja ki Emaan ki rahoon kay nishanaat mit chukey thay, uss ki roshni bujh chuki thee, uss kay arkaan kamzor ho chukey thay.  To Aap (sallallahu alayhi wasallam) nay uss kay nishanaat jo ki mit chukey thay ko buland aur ujagar kiya, Aap nay kalima Tawheed ki dawat may aise logon ko bachaya jo ki jahannam kay kinarey par pahuch chukey thay, aur Aap nay logon kay liye uss roshan raah ko wajeh kiya jis par chal kar insaan dunya aur aakhirat ki kamyabiya haasil kar sakta hai.

Allah Ta'ala ka irshad hai:

Aye Eman walon! Allah Ta'ala aur uss kay Rasool ki itaat karo aur uss say muh na phero, iss haal may ki tum sunn rahey ho. (Surah Al-Anfaal: 20)

Nez irshad farmaya:

Phir agar tumhare beech kisi cheez kay baare may ikhtilaaf ho jaye to usey Allah aur uss kay Rasool ki taraf pher do. (Surah An-Nisa: 59)

Rasool Allah (sallallahu Alayhi wasallam) nay farmaya:

Allah meri ummat ko gumrahi par kabhi jamaa nahi karega. (Al-Mustadrak Lil Hakim: 399, Hukm: Sahih)

Nez Aap (sallallahu alayhi wasallam) nay farmaya:

Meri ummat gumrahi par kabhi jamaa nahi hogi, lihaza tum jamaat (ijmaa) ko lazim pakdo kyun ki Allah ka hath jamaat (ijmaa) par hai. (Al-Muajam Al-Kabeer Lil Tabrani: 13623, Hukm: Hasan)

Ulema kay liye zaroori hai ki har sawal ka jawab tehqeeq kar kay dalail kay sath dey aur sab say pehle sharia ko hamesha madde nazar rakhey. Salaf Saliheen kay muttafiq faham aur aasaar kay khilaf rasta kabhi ikhtiyar na karey aur awaam ka ye kaam hai ki sahih ul aqeedah ulema say masail pooch kar unn par 'amal karey.

Allah Ta'ala irshad farmata hai:

Agar tum nahi jante to ahle zikr (yani ulema) say pooch lo. (Surah Al-Nahal: 43)

Al-Quran Wal Hadeeth website ek dawati, ilmi aur taleemi website hai. Iss website ka maqsad:
  1. Logo ko islam ki taraf dawat dena.
  2. Musalmano may jo bigaad faila huwa hai uss ka khatma aur logon ki islah.
  3. Islam kay baare may jhoot failane walon ka radd.

Ya Allah! hum tujh say sawal kartey hain ki iss par sabit qadmi aur bhalayi par istiqamat ataa farma. Ameen

Post a Comment

0 Comments