Arabi lughat (dictionary) may Islam ka matlab hota hai: Apne aap ko Allah Ta’ala kay supurd (hawale) kar dena, Jin kaamo ka karney ko Allah Ta’ala nay hukm diya hai uss ko maan lena aur jin kaamo say uss nay mana kiya hai unn ko karne say ruk jana, Sirf Allah Ta’ala ki ibadat karna, Aur Allah Ta’ala aur uss kay Rasool (sallallahu alayhi wasallam) nay jo kuch bataya hai uss ki tasdeeq karna aur uss par Eeman lana, Aur Allah Ta’ala kay sath kisi ko bhee shareek na karna ye Islam kehlata hai.
Aur deen (religion) Islam hee ek aisa deen hai jise Allah Ta’ala nay apne bandon kay liye pasand farmaya hai.
Allah Ta’ala farmata hai:
Bila shuba Allah kay nazdeek deen Islam hee hai. (Qur’an, Al-Imran:19)
Aur ek doosri jagah Allah Ta’ala iss tarah farmata hai:
Aur jo shakhs bhee deen Islam kay alawah koyi aur deen talash karega uss ka woh deen qubool nahi kiya jayega, aur woh aakhirat may nuqsaan uthaney walon may say hoga”. (Qur’an Al-Imran:85)
Jo shakhs bhee Islam may daakhil hota hai usey musalman (Muslim) kaha jata hai isliye kyun ki uss nay harr cheez ko Allah Ta’ala kay supurd kar diya aur jo hukm bhee Allah Ta’ala nay apni kitab Qur’an ya apne aakhiri Rasool (Paighambar) Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) kay zariye diye hain unn par amal kiya.
Allah Rabbul Izzat farmata hai:
Allah Rabbul Izzat farmata hai:
Aur kaun hai jo deen Ibraaheem say muh modey (phere) magar wahi jis nay khud ko bewkoof bana liya ho, hala ki Hum nay usey (Ibraaheem ko) dunya may chun liya tha aur bila shuba woh yaqeenan aakhirat may nek logon may say hoga. (Qur’an Al-Baqarah:130)
Aur ek doosri jagah par Allah Ta’ala kuch iss tarah farmata hai:
Baat dar-asal ye hai ki jo apne aap ko Allah ka farmabardar bana dey aur nek ‘amal bhee karta ho to uss ka ajr (sawab) uss kay Rab kay paas zaroor milega aur unhe na khauf hoga na hee woh ghamgeen honge. (Qur’an Al-Baqarah:112)