Kitab-o-sunnat (Quran aur Ahadees) aur ummat kay salaf say sabit hai ki Quran Majeed Allah Ta'ala ka kalaam (word of Allah) hai aur makhlooq (creation) nahi hai. Iss kay maney ye hain ki Allah Ta'ala nay Quran Majeed kay alfaaz boley jo Jibreel (Alayhi Salam) nay suney, aur Nabi kareem (ï·º) tak pahoncha diye.
Allah Ta'ala ka irshad hai:
Aur agar mushrikeen (polytheists) may say koyi ek tujh say panah maangey to usey panah dey do yahan tak ki woh Allah ka kalaam sun ley. (At-Tawbah: 06)
Iss Ayat kareema say maloom huwa ki Nabi kareem (ï·º) aur Sahaba Kiram (Radhi Allahu Anhuma Ajmain) logon kay samney jo Quran padhtey thay woh Allah ka kalaam hai.
Allah Ta'ala nay Quran Majeed kay barey may farmaya:
Aur beshak ye Rabbul Alameen ka nazil kardah hai. (Al-Shura: 192)
Nabi kareem (ï·º) nay farmaya:
Kya koyi aadmi mujhe apni qaum kay paas nahi ley jata? kyun ki Quraish nay mujhe apne Rab ka Kalaam (logon tak) pahonchane say rok diya hai.
(Sunan Abu Dawood: 4734, Jami at-Tirmidhi: 2925, Hukm: Hasan Sahih Ghareeb)
Jab Surah Rum ki ibtidai (shuruwati) ayaat nazil huwin to mushrikeen Makkah nay Sayyidna Abu Bakr Siddiq (Radhi Allahu Anhu) say kaha: Ye tera kalaam hai ya tere sathi ka kalaam hai? To unho nay farmaya: Na ye mera kalaam hai aur na mere sathi ka kalaam hai balki ye to Allah Azzawajal ka kalaam hai.
(Kitabul Aqaid Lil Bayhaqi Tahqeeq Ahmad Bin Ibraaheem, Safa: 108, Sanad: Hasan)
(Al-Asma Wal Sifaat Lil Bayhaqi, Safa: 239-240, Sanad: Sahih)
Jab Surah Rum ki ibtidai (shuruwati) ayaat nazil huwin to mushrikeen Makkah nay Sayyidna Abu Bakr Siddiq (Radhi Allahu Anhu) say kaha: Ye tera kalaam hai ya tere sathi ka kalaam hai? To unho nay farmaya: Na ye mera kalaam hai aur na mere sathi ka kalaam hai balki ye to Allah Azzawajal ka kalaam hai.
(Kitabul Aqaid Lil Bayhaqi Tahqeeq Ahmad Bin Ibraaheem, Safa: 108, Sanad: Hasan)
(Al-Asma Wal Sifaat Lil Bayhaqi, Safa: 239-240, Sanad: Sahih)
Imam Sufyan Bin Ayina al-Makki (Rahimahullah) (Died: 198 H) nay farmaya:
Main nay sattar (70) saal say apne ustadon ko jin may Umar Bin Dinar (Rahimahullah) (died 126 H) bhee thay, yahi kehtey huwe suna hai ki Quran Allah ka kalaam hai aur makhlooq nahi hai.
(Khalq Af'aal al-Ibaad Lil Imam Bukhari, Safa: 07, Fiqrah: 01, Sanad: Sahih)
Imam J'afar Bin Sadiq (Rahimahullah) (Died: 148 H) nay farmaya:
Lekin woh (Quran) Allah Ta'ala ka kalaam hai.
(Masail Abi Dawood, Safa: 265, Sanad: Hasan; al-Sharia Lil Ajri, Safa: 77, Hadees: 159; al-Aqaid Lil Imam Bayhaqi, Safa: 107)
Imam Malik bin Anas (Rahimahullah) (died: 179 H) Quran ko Allah ka kalaam kehtey aur uss shakhs ka bahot zyadah Radd karte jo Quran ko makhlooq kehta tha. .
(al-Sharia, Safa: 79, Hadees: 166, Sanad: Hasan)
Imam Malik bin Anas (Rahimahullah) (died: 179 H) Quran ko Allah ka kalaam kehtey aur uss shakhs ka bahot zyadah Radd karte jo Quran ko makhlooq kehta tha. .
(al-Sharia, Safa: 79, Hadees: 166, Sanad: Hasan)
Imam Shafi (Rahimahullah) (Died: 204 H) nay farmaya:
Jo shakhs Quran ko makhlooq kahe to woh kafir hai.
(Hilyatul Awliya, 9/113, Sanad: Hasan)
Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) (Died: 241 H) nay farmaya:
Quran Allah kay ilm say hai aur Allah ka ilm makhlooq nahi aur Quran Allah ka kalaam hai, makhlooq nahi.
(al-Mihnah rivayat Saalih Ahmad Bin Hanbal, Safa: 69; Aqeedatul Salafiya, Safa: 106)
Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) nay mazeed farmaya:
Jo shakhs (Quran kay sath mera lafz makhlooq hai) ka dawah karey to woh jahannami hai.
(Masail Ibn Hani, Jild: 02, Safa: 152, Fiqrah: 1853)
Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) nay Quran kay sath mera lafz makhlooq hai kehne waley shakhs kay baare may farmaya:
Uss kay peeche namaz nahi padhni chahiyen aur uss kay paas nahi baithna chahiyen, uss say kalaam nahi karna chahiyen aur usey salam nahi karna chahiyen.
(Masail Ibn Hani, Jild: 02, Safa: 152, Fiqrah: 1851)
Nez Imam Ahmad Bin Hanbal (Rahimahullah) nay farmaya:
Quran Allah kay ilm may say hai ilm hai, lihaza jo shakhs ye dawah karey ki Quran makhlooq hai to woh kafir hai.
(Masail Ibn Hani, Jild: 02, Safa: 154, Fiqrah: 1863)
Imam Abdullah Bin Idrees Bin Yazeed al-Koofi (Rahimahullah) (died: 192 H) nay unn logon ko be-Deen, mulhid, be-Eman aur kuffar qarar diya jo Quran ko makhlooq kehte thay.
(Khalq Af'aal al-Ibaad Lil Imam Bukhari, Safa: 08, Fiqrah: 05, Sanad: Sahih)
Imam Wahab Bin Jarir Bin Hazim (Rahimahullah) (died: 206 H) nay farmaya:
Quran makhlooq nahi hai.
(Masail Abi Dawood, Safa: 266, Sanad: Sahih)
Imam Abu al-Nazar Hashim Bin al-Qasim (Rahimahullah) (died: 207 H) nay farmaya:
Quran Allah ka kalaam hai, makhlooq nahi hai.
(Masail Abi Dawood, Safa: 266, Sanad: Sahih)
Imam Abu al-Waleed al-Tayalasi (Rahimahullah) (died: 227 H) nay farmaya:
Quran Allah ka kalaam hai aur Allah ka kalaam makhlooq nahi hai.
(Masail Abi Dawood, Safa: 266, Sanad: Sahih)
Imam Abu al-Waleed (Rahimahullah) nay mazeed farmaya:
Jo shakhs dil say ye aqeedah na rakhey ki Quran makhlooq nahi hai to woh Islam say kharij (yani kafir) hai.
(Masail Abi Dawood, Safa: 266, Sanad: Sahih)
Imam Abu Bakr Bin Ayash al-Koofi (Rahimahullah) (died: 194 H) nay farmaya:
Jo shakhs tumhare saamney Quran ko makhlooq kahe to woh hamare nazdeek kafir, zindeeq aur Allah ka dushman hai. Uss kay paas na baitho aur uss say kalaam (baat cheet) na karo.
(Masail Abi Dawood, Safa: 267, Sanad: Sahih)
Imam Shafi kay shagird Imam Abu Yaqoob Yusuf Bin Yahya (Rahimahullah) (died: 231 H) nay farmaya:
Jo shakhs Quran ko makhlooq kahe to woh kafir hai.
(Masail Abi Dawood, Safa: 268, Sanad: Sahih)
Imam Ahmad Bin Abdullah Bin Yunus (Rahimahullah) (died: 227 H) nay farmaya:
Jo shakhs Quran ko makhlooq kahe to uss kay peeche namaz nahi padhni chahiyen, ye kuffar hai.
(Masail Abi Dawood, Safa: 268, Sanad: Sahih)
Abdullah Bin Nafe (Rahimahullah) kehte hain:
Quran Allah Ta'ala ka kalaam hai aur Quran ko makhlooq kehna galat jumla hai
(al-Mihnah rivayat Saalih Bin Ahmad Bin Hanbal, Safa: 66, Sanad: Sahih)
Ibn Abi Hatim (Rahimahullah) nay farmaya:
Main nay apne walid (abba) aur Abu Zarah (Rahimahullah) say Ahle Sunnat kay aqaid kay sath baaki tamam ulema kiram kay nazriyat kay baarey may poocha to unho nay kaha: Hum nay Hijjaz, Iraq, Sham, Yeman sameyt tamam ilaqon kay ulema kiram ko inn aqaidon par paya ki: Eman qaul aur f'al ka naam hai jo ki kamm zyadah bhee hota hai, nez Quran Kareem Allah Ta'ala ka kalaam hai aur kisi aetbar say bhee makhlooq nahi hai.
(as-Sunnah Ibn at-Tabari, 1/176, Sanad: Sahih)
Imam Abu Qasim Hibatullah Ibn al-Hasan at-Tabari (Rahimahullah) nay apni 'azeem kitab Sharh Usool 'Itiqaad Ahl as-Sunnah Wal-Jamaat may zikr kiya hai:
Ye aqeedah umaat kay sabiqa 550 ya isse zyadah ulema kiram ka aqeedah hai, unn sab ka kehna hai: Quran Kareem Allah ka kalaam hai, makhlooq nahi hai aur Quran ko makhlooq kehne wala kafir hai.
(as-Sunnah Ibn at-Tabari, Safa: 493, Sanad: Sahih)
Imam Bukhari (Rahimahullah) nay farmaya:
Aur Quran Allah ka kalaam hai, makhlooq nahi hai.
(Khalq Af'aal Al-Ibaad, Safa: 23, Fiqrah: 112)
Shaykh Al-Muhaddis Al-Allama Al-Hafiz Zubair Ali Zai (Rahimahullah) nay farmaya:
Iss qisam kay hawale (References) behad aur beshumar hain jin say sabit huwa ki Ahle Sunnat kay ijmaa aur iteefaq say ye aqeedah sabit hai ki musalmano kay paas mawjood Quran Majeed Allah ka kalaam hai, makhlooq nahi hai aur isey makhlooq kehne wala kafir hai. Ye wahi Quran Majeed hai jo Allah Ta'ala nay Jibreel (Alayhi Salam) kay zariye say Khatamun Nabiyeen aur Rehmatul Lil Alameen Muhammad (ï·º) par nazil farmaya aur aap nay Sahaba Kiram tak pahoncha diya, Sahaba nay Tabayeen tak aur Tabayeen nay Tabe Tabayeen tak pahoncha diya. Ye wahi Quran hai jisey Huffaze Kiram nay yaad rakha hai, Mushaaf may likha huwa hai aur Ummate Muslima jis ki tilawat karti hai.
(Tozeeh Al-Ahkam, kitabul Aqaid, Jild: 01, Safa: 37)
Iss baare may mazeed janne kay liye Majmu Fatawa Imam Ibn Taymiyyah (Rahimahullah) ki jild 12 may say "Al-Quran kalaam Allah", Imam Ibn Qayyim (Rahimahullah) ki kitab: Mukhtasar as-Sawaa'iq al-Mursalah, Shaykh Zubair Ali Zai (Rahimahullah) ki kitab: Tozeeh al-Ahkam Jild 01 mulahiza farmaye.
0 Comments