Allah Ta'ala aur uss kay Nabi (paighambar) Muhammad (ï·º) kay har hukm ko manna aur uss par 'amal karna har musalman par zaroori hai. Lekin Islam may panch (5) cheeze aisi hain jo ki Islam ki buniyaad hain, jin kay oopar Islam ki 'imarat qayam hai. Inhe Islam kay panch bunyaadi arkaan (satoon / stambh / pillars) ya Islam kay panch farz kehte hain. Woh paanch arkaan kaun say hain to iss baare may Allah kay Nabi Muhammad (ï·º) nay bayan farmaya hai.
Abu Abdul Rehman Abdullah Ibn Umar (Radhi Allahu Anhu) bayan karte hain:
Yahi Allah tumhara Rab hai, uss kay siwa koyi m'abood (bar haq) nahi, har cheez ko paida karney wala hai. So tum uss ki ibadat karo aur woh har cheez par nighebaan hai. (Al-Anam 06:102)
Muhammad tumhare mardon may say kisi kay baap nahi magar han woh Allah kay Rasool aur khatamun Nabiyeen (Nabiyon kay silsile ko khatam karne waley) hain aur Allah har cheez ka ilm rakhney wala hai. (Al-Ahzab 33:40)
Abu Abdul Rehman Abdullah Ibn Umar (Radhi Allahu Anhu) bayan karte hain:
Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Islam ki buniyaad paanch (5) cheezon par hai: (1) Iss baat ki gawahi dena ki Allah kay siwa koyi (sachcha) mabood nahi aur Muhammad (sallallahu alayhi wasallam) uss kay bandey aur Rasool (paighambar) hain, (2) Namaz qayam karna, (3) Zakat ada karna, (4) Hajj karna, (5) Ramazan kay rozey rakhna.
(Sahih Bukhari: 08)
(Sahih Muslim: 16)
1. Shahadah
Islam ka pehla rakan (stambh) shahadah hai yani dil aur zuban say tawheed (La Ilaaha Illallah - Allah kay siwa koyi sachcha m'abood nahi) aur risalatat (Muhammadur Rasool Allah - Muhammad Allah kay Rasool hain) ki gawahi dena aur iss ka iqraar karna.
1.1. Tawheed: Dil aur zubaan say iss baat ka iqraar karna ki Allah Ta'ala kay siwa koyi sachcha m'abood nahi hai. Har tarah ki ibadat kay layak sirf Allah Ta'ala hai. Iss poore jahaan ka Malik sirf Allah Ta'ala hai. Wahi har cheez ka paida karne wala aur maut dene wala hai. Wahi logon ki zaroorate poori karne wala hai, wahi logon ki mushkilon ko door karne wala hai, wahi rizq dene wala hai, wahi nafa aur nuqsaan ka Malik hai.
Allah Ta'ala irshad farmata hai:
1.2. Risalat: Dil aur zubaan say iss baat ka iqraar karna ki Muhammad (ï·º) Allah kay bandey aur Rasool hain. Aap (ï·º) kay hukmo ki farmabardari ki jaye, aap nay jo khabar bhee dee hai uss ko sachcha maana jaye, Aap nay jin kaamo say roka aur mana kiya hai unn say poori tarah say bacha jaye aur Allah Ta'ala ki ibadat sirf uss tarah say ki jaye jis tarah aap (ï·º) khud kee aur logo ko bhee sikhaya.
Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Har musalman par ye wajib (zaroori) hai ki woh Allah aur uss kay paighambar Muhammad (ï·º) say mohabbat karey aur unn kay hukmo ki farmabardari karey aur ye yaqeen rakhey ki Allah say mohabbat uss kay Paighambar (ï·º) ki farmabardari kay bina mumkin nahi.
Keh do agar tum Allah Ta'ala say mohabbat rakhte ho to meri farmabardari karo, Allah Ta'ala bhee tum say mohabbat karega aur tumhare gunah maaf kar dega. (Al-Imran 03:31)
2. Salah (Namaz)
Islam ka doosra rakan salah (namaz) qayam karna hai. Allah Ta'ala nay har baligh (adult) musalman par har din may panch waqt ki namaze farz (obligatory) kee hain jin ko paaki (purity) ki halat may, Allah aur uss kay Rasool (ï·º) kay farmaan kay mutabiq anjaam diya jaye, uss ko khoob dil laga kar, araam say aur dhayan say padha jaye. panch waqt (time) ki namaze hain: Fajr (din kay aghaaz may / early morning / before dawn), Zohar (dopehar / mid-day), Asr (saeh pehar / mid-afternoon), Maghrib (suraj doobney kay baad / just after sunset) aur Isha (raat may / at night).
Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Beshak namaz momino (Eeman walon) par waqt par padhna farz hai. (An-Nisa 04:103)
Beshak namaz momino (Eeman walon) par waqt par padhna farz hai. (An-Nisa 04:103)
Ek doosri jagah farmata hai:
Namazo ki hifazat karo, khaas kar beech wali namaz (yani Asr ki namaz) ki aur Allah Ta'al kay liye ba-adab khade raha karo. (Al-Baqarah 02:138)
Nabi kareem (ï·º) nay Muaz (Radhi Allahu Anhu) ko Yeman ki taraf bheja to farmaya:
Unhey iss baat ki taraf dawat dena ki woh gawahi dey ki sirf Allah mabood bar haq hai aur main uss ka Rasool hoon. Phir agar woh iss baat ko maan ley to unhey batana ki Allah nay har din raat may panch namaze farz ki hain. (Sahih Bukhari: 1395, Sahih Muslim: 121)
Namaz ka bina kisi sharai uzar kay chor dena kufr aur shirk hai. Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Namaz qayam karo aur mushriko say na ho jao. (Al-Rum 30:31)
Rasool Allah (ï·º) nay farmaya:
Momin bandey aur shirk-o-kufr kay beech farq namaz ka chor dena hai. (Sahih Muslim: 247)
Museebat aur pareshani kay waqt namaz Allah say madad hasil karney ka zariya hai. Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Aur sabr aur namaz kay zariye say madad hasil karo. Aur beshak ye (namaz) bahot bhari hai, lekin Allah Ta'ala say darney walon kay liye nahi. (Al-Baqarah 02:45)
Khoob dil laga kar, dhayan say aur Allah Ta'ala kay dar say padhi janey wali namaz ek musalman ko uss kay Rab say kareeb kar deti hai aur behayayi aur bure kaamo say rokti hai. Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Aap par jis kitab ki wahee ki gayi hai uss ki tilawat kijiyen aur namaz qayam kijiyen. Beshak namaz behayayi aur bure kaamo say rokti hai. (Al-Ankabut 29:46)
3. Zakat
Islam ka teesra rakan zakat ada karna hai. Allah Ta'ala nay jin logon ko maal aur dawlat dee hai unn par ye farz (obligatory) hai ki woh uss dawlat may say ek khaas hissa (percentage) Allah ki raah may kharch karey yani ghareebon aur zaroorat mando may baant dey. Jo shakhs kam se kam 85 gm sona (gold) ya 595 gm chaandi (silver) ka malik ho aur uss par ek qamri saal (Lunar Year) ghuzar jaye to uss ko uss dawlat ka chaliswa hissa (2.5%) zakat kay taur par ada karna farz (obligatory) hai.
Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Zakat ko rok lene wala aur uss ko ada na karney wala kafir aur mushrik hai. Aise shakhs ko Allah Ta'ala qayamat kay din bahot bura aur takleef wala azaab dega. Allah Ta'ala farmata hai:
Aur jo log soney chandi ka khazana rakhte hain aur usey Allah ki raah may kharch nahi kartey unhey dardnaak azaab ki khabar pahoncha dijiye. Jis din uss khazaney ko jahannam ki aag may tapaya jayega phir uss say unn kay maathey aur pehloo aur peethey daagi jayengi (unn say kaha jayega) ye hai jisey tum nay apne liye khazana bana kar rakha tha, to apne khazano ka maza chakho. (At-Tawbah 09:34)
Tabahi hai unn mushriko kay liye jo zakat nahi dete aur aakhirat kay munkir (yani kafir) hain. (Fussilat 41:07)
Nabi kareem (ï·º) nay farmaya:
Jis shakhs ko Allah Ta'ala nay dawlat say nawaza lekin uss nay uss ki zakat na dee to woh dawlat qayamat kay din uss kay liye ganjey saanp ki shakal may bana dee jayegi jis ki aankho kay oopar do nuqtey honge. Woh saanp uss kay galey ka tawq bana diya jayega phir woh saanp uss ki dono bachey pakak kar kheechega aur kahega main tera maal hoon tera khazana hoon. (Sahih Bukhari: 1403)
4. Hajj
Islam ka chawtha rakan Hajj hai. Hajj ka matlab hai ki jo musalman istitaat (maali aur jismani takat) rakhta ho to woh zindagi may kam say kam ek baar Allah ki ibadat ki niyat say Hajj kay mahino may Makkah ki taraf safar kare aur Kabah ka tawaaf (chakkar lagana) aur baaki Hajj kay arkaan jo Allah aur uss kay paighambar nay bataye hain unhe poora karey.
Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Allah kay Rasool (ï·º) nay farmaya:
Aye logon! Beshak Allah nay tum par Hajj farz kiay hai. (Aap kay iss irshad kay baad) Iqra bin Habis (Radhi Allahu Anhu) khade huwe aur poocha: Aye Allah kay Rasool (ï·º)! kya har saal Hajj farz hai? Aap nay farmaya: Agar main isbaat may jawab de deta to (har saal) Hajj farz ho jata aur agar maan lo ki farz ho jata to tum iss par 'amal na kar saktey aur na iss ki istetaat (taqat) rakhtey. Hajj (zindagi may) ek baar farz hai. (Ek baar say) zyadah Hajj karey (uss ka woh Hajj) nafil hai. (Musnad Imam Ahmad: 2642, Sunan Ibn Majah: 2885, Sunan Abu Dawood: 1721, Sunan Nisai: 2619)
Hajj ka bahot sawab hai. Allah kay Rasool (ï·º) ka farman hai:
Hajj karney kay baad insaan gunahon say yun paak saaf ho jata hai jaise woh aaj paida huwa hai. (Sahih Bukhari: 1521, Sahih Muslim: 1350)
Ek aur hadees may hai ki Allah kay Nabi (ï·º) nay farmaya:
Hajj mabroor ka badla jannat hai. (Sahih Bukhari: 1773, Sahih Muslim: 1349)
5. Sawm (Ramazan kay rozey)
Islam ka paanchwa rakan Ramazan kay rozey hain. Musalmano par saal bhar may ramazan kay maheene may rozey rakhna farz (obligatory) hain. Ramazan kay rozey har baligh, sehat mand mard aur aurat par farz hain. Subah Sadiq (true dawn) say ghuroob Aaftab (sunset) tak khaane peene, aur nafsaani khuwahishaat say khud ko roke rakhne ka naam rozah hai. Rozey ka maqsad insaan ko parhezghaar aur nek banana hai.
Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Ramazan ka mahina woh hai jis may Quran nazil kiya gaya jo insano kay liye hidayat hai aur hidayat ki aur haq aur batil ka farq karney ki wajeh daleel hai. To tum may say jo koyi iss mahiney may hazir ho to woh iss kay rozey rakhey aur jo koyi beemaar ho ya kisi safar par ho to doosre dino say tadaad (ginti) poori karna hai. Allah Ta'ala tumhare sath aasaani ka iradah rakhta hai aur tum par tangi ka iradah nahi rakhta aur taa ki tum ginti poori kar sako aur tum iss par Allah Ta'ala ki badayi bayan karo jo uss nay tumhe hidayat dee hai aur taa ki tum shukar guzaar bano. (Al-baqarah 02:185)
Ramazan kay rozon ki bahot fazilat (virtues) ahadees may aayi hai. Jaise ek ahadees may hai ki Rasool Allah (ï·º) nay farmaya:
Jis nay Eeman aur sawab hasil karne ki niyat say ramazan kay rozey rakhe uss kay pichle gunah maaf kar diye jatey hain. (Sahih Bukhari: 38)
Allah Ta'ala say dua hai ki woh hum sab ko deen ko samajhne aur uss par amal karney ki taufeeq ata farmaye. Ameen Ya Rabbul Alameen
0 Comments