Islam me bhai charah - Hadees 13

Khadim Rasool, Abu Hamzah Anas bin Malik (Radhi Allahu Anhu) se rivayat hai:

Nabi (ï·º) ne farmaya: Tum me se koyi uss waqt tak (kamil) momin nahi ho sakta jab tak apne bhai ke liye wahi pasand na kare jo apne liye karta hai.

(Sahih Bukhari, Kitab: al-Emaan, Hadees: 13)
(Sahih Muslim, Kitab: al-Emaan, Hadees: 45)
(40 Hadees Nawawi, Hadees: 13) 

Shrah aur Fawaid

  • Emaan ko mukammal karne wali ek khaslat ye hai ki aadmi apne momin bhai ke liye wahi pasand kare jo khud apne liye pasand karta hai aur unn baton ko napasand kare jo khud apne liye napasand karta hai. Yahi Emaan akhuwat ka taqaza hai.
  • Agar koyi shakhs apne bhai ke liye wahi pasand kare jo khud apne liye pasand karta hai to hamesha uss ka dil bughz-o-keena aur hasad se mahfooz rahega, kyun ki ye bure ausaaf paida hee isliye hote hain jab aadmi khud ko doosre se mumtaz aur bartar rakhna chahta hai aur doosre ko apne barabar dekhna nahi chahta hai.
  • Jis shakhs se mazkoora sifat khatam ho jaye uss ke Emaan me kami ho jati hai. Ek musalman shakhs hamesha inn cheezon ki talash me rehta hai aur unhe ikhtiyar karta hai jis se Emaan me zyadti hoti hai aur aisi cheezon se apne emaan ki hifazat karta hai jo emaan me kami ka baas hoti hain.
  • Agar musalman iss hadees ko apne muashre me nafiz kar ley to ek bemisal, bedagh, qabil rashk muashra wajood me aa jayega jo iss hadees ke misdaq hoga jis me Aap (sallallahu alayhi wasallam) ne farmaya: Baahimii mohabbat aur shafqat me momino ki misaal ek jism ki tarah hai ki agar ek hisse ko taklif hoti hai to sara badan bukhar aur bedari ke sath tadap jata hai (Sahih Bukhari, Hadees: 6011; Sahih Muslim, Hadees: 2586).
(Sharah Arbaeen Nawawi, Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani).

Meanings

1. Baahimii - Aapas ka, aapas ki, sath ka, sath ki, ek doosre ka, darmiyani.
2. Shafqat - Meharbani, Karam, Reham.
3. Muashra - Society 

Post a Comment

0 Comments