Kya Allah apni zaat ke sath har jagah maujood hai?



Aksar dekha gaya hai ki bahot say logon ka ye aqeedah hota hai ki Allah Ta'ala apni zaat kay sath har jagah maujood hai aur woh iss kay liye Quran ki Surah Al-Hadeed ki ayat 04 ko daleel banatey hain jab ki ye aqeedah durust nahi hai kyun ki Kitab-o-Sunnat (Quran aur Ahadees) aur ummat kay salaf say ye baat sabit hai ki Allah Ta'ala apni zaat kay aetbaar say saato aasmaano kay oopar apne Arsh (Throne) par buland hai jis tarah uss ki shaan kay layaq hai aur woh buland-o-bala aur har cheez kay oopar hai, uss kay oopar koyi cheez nahi. Surah Hadeed ki ayat 04 aur uss jaisi tamam ayaton say ummat kay salaf nay Allah Ta'ala ka ilm (Knowledge), qudrat (Abilities), sama'at (Hearing / sunney ki quwwat) aur basarat (Eyesight / Nigah / Nazar) ko muraad liya hai. To ummat kay salaf ka aqeedah ye tha ki zaat kay aetbaar say Allah Ta'ala saato aasmaan kay oopar apne arsh par mustawi (buland) hai lekin apney ilm, qudrat, sama'at aur basarat kay aetbaar say woh har jagah hai, koyi bhee cheez uss say mukhfi (chupi huwi) nahi. Arsh par honey kay bawjood woh har cheez ka ilm rakhney wala hai, har cheez ka sunne wala hai aur sab kuch dekhney wala hai. 

Ab hum dekhtey hain ki surah Al-hadeed ki ayat 04 ka matlab ummat kay salaf nay kya liya hai.

Wahi hai jis nay aasmaano aur zameen ko cheh (6) dino may paida kiya, phir arsh par mutmakan ho gaya. Woh usey bhee janta hai jo kuch zameen may dakhil hota hai aur (usey bhee janta hai) jo kuch uss may say nikalta hai aur jo kuch aasmaan say utarta hai aur jo kuch uss may chadhta hai aur woh tumhare sath hai chahey tum kahin bhee ho aur jo kuch bhee tum kiya kartey ho usey woh dekhta hota hai. (Al-Hadeed: 04) 

Iss ayat ki tashreeh may qadeem Mufassir Quran Imam Muhammad bin Jarir bin Yazeed al-Tabri (Rahimahullah) (died 310 H) farmate hain:

Aur aye logon! woh Allah tum par gawah hai, tum jahan kahin bhee ho woh tumhey janta hai, woh tumharey a'amaal, phirna aur thikana janta hai aur woh apney saat (7) aasmaano say oopar apney arsh par hai.

(Tafseer Tabri, Jild: 27, safa: 125)


Isi mafhoom (matlab) ki ek ayat kay baarey may Mufassir Zuhak bin Mazaham al-Hilali al-Khurasani (Rahimahullah) (died 106 H) farmate hain:

Woh (Allah) Arsh par hai aur uss ka ilm unn (logon) kay sath hai chahey woh jahan kahin bhee hon.

(Tafseer Tabri, Jild 28, safa: 10)


Imam Muqri Muhaqqiq Muhaddis Asri Abu Umar Ahmad bin Muhammad bin Abdullah At-Talamanki Al-Andalusi (Rahimahullah) (died 429 H) farmate hain:

Ahle Sunnat Musalmano ka iss par ijmaa hai ki "Aur woh tumhare sath hai chahey tum kahin bhee ho" (Surah Al-Hadeed: 04) wagairah ayaat ka matlab ye hai ki beshak iss say Allah ka ilm murad hai. Allah apni zaat kay lihaz say aasmaano par Arsh par mustawi (buland) hai jis tarah uss ki shaan kay layaq hai.

(Shrah hadees al-Nuzool La Ibn Taymiyyah, Safa: 144-145)


Hafiz ibn al-Jawzi (Rahimahullah) farmate hain:

(Jahmiyyah kay firqe)  multazam nay Allah Ta'ala ko har jagah (maujood) qarar diya hai.

(Talbees Iblees, Safa: 30)


Shaykh Abdul Qadir Jilani (Rahimahullah) farmate hain:

Aur yun kehna jayaz nahi ki Woh (Allah) har makaan may hai balki yun kehna chahiyen ki Woh aasmaan may Arsh par hai.

(Guniyatul Talibeen, Jild: 01, Safa: 100)


Hafiz Ibn Taymiyyah (Rahimahullah) nay likha hai:

Aur salaf say sabit hai ki unho nay farmaya: Woh (Allah) ilm kay lihaz say unn kay sath hai aur ibn Abdul Bar wagairah nay iss par Sahaba (Radhi Allahu Anhuma) aur Tabayeen ka ijmaa naqal kiya hai aur iss silsile may kisi qabil aetmaad shakhs nay unn ki mukhalifat nahi kee.

(Shrah Hadees al-Nuzool, Safa: 126)


Iss ijmaa say maloom huwa ki baaz logon ka iss ayat kareema say ye masla tarashna ki Allah apni zaat kay sath har jagah maujood hai ghalat aur baatil hai.

[Fatawa Ilmiya Al-Shaykh Al-Muhaddis Al-Allama Al-Hafiz Zubair Ali Zai (Rahimahullah) (died 2013), Jild 01, Kitabul Aqaid, Safa: 29-30]

Allah Ta'ala ka apni zaat kay sath Arsh par hone kay mutalliq mazeed padhey Allah kaha hai? 

Post a Comment

0 Comments