Kitab-o-Sunnat (Quran aur Ahadees) aur ummat kay salaf (Islam kay shuruwati zamane kay log) say ye baat sabit hai ki Allah Ta'ala apni zaat kay aetbaar say saato aasmaano kay oopar apne Arsh (Throne) par mustawi (buland) hai jis tarah uss ki shaan kay layaq hai aur woh buland-o-bala aur har cheez kay oopar hai, uss kay oopar koyi cheez nahi.
Quran Majeed ki roshni may
Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Beshak tumhara Rab Allah hai jis nay aasmaano aur zameen ko che (6) dino may paidaa kiya, phir arsh par mustawi (buland) huwa. (Al-A'raaf: 54)
(Nez dekhiye: Yunus: 03, Ar-R'ad: 02, Taha: 05, Al-Furqan: 59, As-Sajadah: 04, Al-Hadeed: 04)
Kya tum uss say be-khauf ho jo aasmaano may hai ki woh tumhey zameen may dhansa dey? to achanak woh hichkoley khaney lagey. (Al-Mulk: 16)
Woh aasmaan say zameen tak har kaam ki tadbeer karta hai phir woh (kaam) ek din may uss ki taraf oopar jata hai jis ki miqdaar ek hazar saal (1000 years) hai uss hisaab say jo tum shumar kartey ho. (As-Sajdah: 05)
Usi (Allah) ki taraf har pakeezah baat (yani achchi baatey) chadhti hain, aur nek 'amal usey buland karta hai. (Fatir: 10)
Beshak hum nay hee iss Quran ko utara hai aur hum hee iss kay nighebaan hain. (Al-Hijr: 09)
Jis ki taraf farishte aur Rooh (Jibreel) chadhtey hain (aur ye) ek din may itni musafat tay kartey hain jis ka andaazah pachas (50) hazar baras ka hoga. (Al-Ma'arij: 04)
Paaki bayan karo apney Rab kay naam ki jo sab say buland hai. (Al-A'la: 01)
Aur unho nay yaqinan usey qatal nahi kiya (yani Esa Alayhi Salam ko) balki Allah nay usey apni taraf utha liya aur Allah ghalib hikmat wala hai. (An-Nisa: 157, 158)
Iss par ummat ka ijmaa hai ki Esa (Alayhi Salam) aasmaan par utha liye gaye thay aur aasmaan may zinda hain. Aakhiri zamaney may aap aasmaan say utrengey aur Dajjaal ko qatal karengey.
Ahadees ki roshni may
Muawiya bin al-Hakam (Radhi Allahu Anhu) kehtey hain:
Meri ek laundi (maid-servant) thee jo uhud aur jawwaniya may meri bakriyan (goats) charati thee. Ek din main uss taraf jaa nikla to bhediya (wolf) uss ki bakriyon say ek bakri ley jaa chuka tha. Main bhee Adam (Alayhi Salam) ki aulad may say ek aadmi hoon, mujhe bhee usi tarah afsos hota hai jis tarah unn ko hota hai. (Mujhe sabr karna chahiyen tha) lekin main nay usey zor say ek thappar jarr diya, uss kay baad Rasool Allah (ï·º) ki khidmat may hazir huwa to aap nay meri iss harkat ko mere liye badi (galat) harkat qarar diya. Main nay arz kiya: Aye Allah kay Rasool (ï·º)! kya main usey aazaad na kar doon? Aap (ï·º) nay farmaya: usey mere paas ley aao. Main usey ley kar aap (ï·º) kay paas hazir huwa. Aap (ï·º) nay uss say poocha: Allah kaha hai? Uss nay kaha: Aasmaan may. Phir poocha: Main kaun hoon? Uss nay kaha: Aap Allah kay Rasool hain. To aap (ï·º) nay farmaya: Isey aazaad kar do, ye momina (Emaan wali) hai.
(Sahih Muslim: 537)
Jabir bin Abdullah (Radhi Allahu Anhu) say rivayat hain:
Rasool Allah (ï·º) nay Arafah kay din khutbey may farmaya: Kya main nay pahoncha diya hai? To Sahaba (Radhi Allahu Anhuma) nay jawab diya: Jee han. Phir aap (ï·º) nay aasmaan ki taraf ungali uthayi aur kaha: Aye Allah! gawah reh.
(Sahih Muslim: 1218)
Abdullah bin 'Amr bin al-Aas (Radhi Allahu Anhu) say rivayat hain:
Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Reham karney walon par Rehman reham farmata hai. Tum zameen walon par reham karo tum par jo aasmaan may (oopar) hai reham farmayega.
(Jami at-Tirmidhi: 1924, Mustadrak Lil Hakim: 4/159, Hukm: Sahih)
Abu Sa'id al-Khudri (Radhi Allahu Anhu) say rivayat hain:
Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Kya tum mujhe ameen (trust worthy) nahi samajhtey aur main uss ka ameen hoon jo aasmaano may hai. Mere paas subah aur shaam aasmaan ki khabrey aati hain.
(Sahih Bukhari: 4351, Sahih Muslim: 1064)
Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) say rivayat hain:
Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Hamara Rab (parwardigaar) buland barakat wala hai. Har raat ko uss waqt aasmaan dunya par aata hai jab raat ka aakhiri tihayi (1/3) hissa baaki reh jata hai. Woh kehta hai: Koyi mujh sey dua karney wala hai ki main uss ki dua qubool karoon, koyi mujh say maangney wala hai ki main usey doon, koyi mujh say bakhshish talab karney wala hai ki main usey bakhsh doon.
(Sahih Bukhari: 1145, Sahih Muslim: 758)
Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) say rivayat hain:
Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Tumharey paas raat aur din kay farishtey aate rehtey hain aur ye fajr aur asr ki namaz may jamaa hotey hain, phir woh oopar (aasmaan ki taraf) chadhtey hain. Phir Allah unn say tumharey baare may poochta hai hala ki usey tumhari khoob khabar hai. Poochta hai: Mere bandon ko tum nay kis haal may chora? Woh (Farishtey) kehtey hain: Hum nay iss haal may chora ki woh namaz padh rehey thay.
(Sahih Bukhari: 7429)
Nabi kareem (ï·º) nay farmaya:
(Nek rooh say) kaha jata hai: Paakizah nafs ko khush amadeed. Iss tarah kaha jata hai hatta ki uss rooh ko uss aasmaan tak pahoncha diya jata hai jis may Allah Ta'ala hai.
(Musnad Imam Ahmad: 2/264, Hukm: Sahih)
Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) say rivayat hain:
Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Jab Allah Ta'ala nay takhleeq poori kar dee to apne paas arsh kay oopar (ek kitab may) likh diya ki meri rehmat mere ghazab par ghalib hai.
(Sahih Bukhari: 7422, Sahih Muslim: 2751)
Abu Sa'id al-Khudri (Radhi Allahu Anhu) say rivayat hain:
Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Qayamat kay din sab behosh ho jayenge (phir main sab say pehley hosh may aaunga) to dekhunga ki Musa (Alayhi Salam) Arsh kay payon may say ek paya pakdey khadey hain (yani woh mujh say pehley hosh may aa jayengey).
(Sahih Bukhari: 1104, Sahih Muslim: 2373)
Aasaarey Sahaba ki roshni may
Jab Rasool Allah (ï·º) faut huwe to Ameerul Momineen Abu Bakr Siddeeq (Radhi Allahu Anhu) nay khutba diya:
Jo Muhammad (ï·º) ki ibadat karta tha to woh jaan ley ki beshak Muhammad (ï·º) faut ho chuke hain aur jo Allah ki ibadat karta tha to woh jaan ley ki Allah aasmaan may zindah hai uss par maut nahi aayegi.
(Al-Rad 'ala Jahmiya Lil Darmi: page 78, Al-Tareekh al-Kabeer: 1/201 - 202, Hukm: Hasan)
Ummul Momineen Sayyida Zainab Bint Jahsh (Radhi Allahu Anha) Nabi kareem (ï·º) ki doosri biwiyon par fakhr kartey huwe farmaya karti thee:
Mujhe Allah Ta'ala nay saat aasmaano kay oopar say Nabi (ï·º) ki biwi banaya.
(Sahih Bukhari: 7420)
Abdullah ibn Masood (Radhi Allahu Anhu) nay farmaya:
Aasmaan dunya aur doosre aasmaan kay darmiyan paanch saw saal (500 years) ka faasla hai aur har aasmaan kay darmiyan paanch saw saal ka faasla hai. Saatwey aasmaan aur kursi kay darmiyan paanch saw saal ka fasla hai aur kursi aur paani kay darmiyan paanch saw saal ka fasla hai. Kursi paani kay oopar hai aur Allah kursi kay oopar hai aur woh tumhare amaal jaanta hai.
(Kitab at-Tawheed La Ibn Khuzaima: 1/244, Hukm: Hasan)
Salman Farsi (Radhi Allahu Anhu) nay farmaya:
Beshak Allah haya farmata hai jab bandah uss ki taraf hath phailata hai ki unhey khali lawta dey.
(Mustadrak Lil Imam Hakim: 1/497, Hukm: Sahih)
Abdullah ibn Abbas (Radhi Allahu Anhu) nay ummul momineen Aisha (Radhi Allahu Anha) say farmaya:
Allah Ta'ala nay aap ki braat (yaani unn ki paak damani ki gawahi) saat aasmaano kay oopar say nazil kee hai.
(Tabqat Ibn Saad: 8/70, Hukm: Hasan wa Asal fi Sahih Bukhari: 2/669)
Inn tamam dalail ka khulasa ye hai ki Allah Ta'ala apni zaat kay sath saato aasmaano kay oopar apne Arsh par mustawi (buland) hai (jis ki kaifiyat hume maloom nahi).
1 Comments
Jazak Allahu Khayer.
ReplyDelete