Islam, Eman aur Ihsan - Hadees 02 (40 Hadees Nawawi)


 
Umar (Radhi Allahu Anhu) say rivayat hai:

Ek din hum Rasool Allah (ï·º) kay paas baithe thay ki achanak ek shakhs khoob safed (white) kapdon (clothes) aur sakht kale baalon may namudaar huwa, uss par safar kay koyi asraat na thay aur hum may say koyi usey pehchanta bhee na tha. Woh Nabi (ï·º) kay qareeb aa kar baith gaya aur apne ghutne aap (ï·º) kay ghutno say mila diye aur apni hatheliyon ko apni dono rano par rakh diya aur sawal kiya: Aye Muhammad (ï·º)! Mujhe Islam kay baare may batlaiyen? Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Islam ye hai ki tum iss baat ki shahadat do ki Allah kay siwa koyi mabood bar haq nahi aur Muhammad (ï·º) Allah kay Rasool hain, namaz qayam karo, zakat ada karo, ramazan kay rozey rakho aur baitullah ka hajj karo agar wahan tak pahochney ki tum may istita'at ho. Uss nay kaha: Aap sach farmate hain. Hume iss par t'ajjub huwa ki khud hee sawal karta hai aur khud hee (jawab ki) tasdeeq karta hai. Uss nay phir kaha: Mujhe Eman kay baare may batlaiyen? Aap (ï·º) nay farmaya: Eman ye hai ki tum Allah par, uss kay farishton par, uss ki kitabon par, uss kay Rasoolon par, aakhirat kay din par aur achi buri taqdeer par eman lao. Uss nay kaha: Aap sach farmate hain. Phir kaha: Mujhe Ihsan kay baare may batlaiyen? Aap (ï·º) nay farmaya: Ihsan ye hai ki tum Allah ki ibadat iss tarah karo goya usey dekh rahe ho aur agar tum usey dekh nahi rahe to woh yaqeenan tumhe dekh raha hai. Uss nay kaha: Mujhe Qayamat kay baare may khabar dijiyen? Aap (ï·º) nay farmaya: Jis say qayamat kay baare may poocha gaya hai woh poochne wale say zyadah nahi janta. Uss nay kaha: To uss ki nishaniyon kay baare may batlaiyen? Aap (ï·º) nay farmaya: Laundi apni aaqa (malikin) ko janegi aur tum dekhoge ki nange pair, nange badan, faqeer aur bakriyon kay charwahey oonchi oonchi 'imaratey bana kar ek doosre par fakhr karenge. Phir woh shakhs chala gaya, main ek muddat tak muntazar raha phir Nabi (ï·º) nay farmaya: Aye Umar! kya tumhe maloom hai ki poochne wala kaun tha? Main nay kaha: Allah aur uss kay Rasool (ï·º) behtar jantey hain. Aap (ï·º) nay farmaya: Woh Jibreel (Alayhi Salam) thay jo tumhe tumhare deen ki t'aleem dene aaye thay.  

(Sahih Muslim, Kitabul Eman, Hadees: 08)
(40 Hadees Nawawi: 02) 

Shrah aur Fawaid

  • Ye hadees bahot 'azeem hai, "Hadees Jibreel" kay naam say mashoor hai. Iss kay andar ijmali taur par poore deen ka zikr hai iss liye Nabi (ï·º) nay farmaya: Jibreel (Alayhi Salam) tumhe tumhara deen sikhlane aaye thay.
  • Farishte kabhi insani shakal ikhtiyar kar kay aate hain. Nabi (ï·º) kay paas Jibreel (Alayhi Salam) aksar awqaat Dahiya Kalbi (Radhi Allahu Anhu) ki shakal may aaya karte thay.
  • Talib ilm ko apne ustad kay saamne badey adab aur ehtraam kay sath baithna chahiyen.
  • Islam kay panch arkan hain (1) Shahadah (2) Namaz (3) Zakat (4) Ramazan kay rozey (5) Hajj. Mazeed janne kay liye padhiyen Islam kay panch bunyadi arkan.
  • Islam aur Eman kay beech farq kiya gaya hai. Islam aeza'a aur jawarah kay zahiri a'amaal ko kaha gaya hai jab ki Eman may qalbi a'amal zikr kiye gaye hain. Iss ka sabab ye hai ki jab Islam aur Eman ko ek sath zikr kiya jaye to dono alag alag mafhoom rakhtey hain, lekin agar sirf kisi ek ka zikr ho to uss kay andar dono ka mafhoom shamil hota hai. Isliye ahle ilm ka kehna hai: Har momin musalman hai aur har musalman momin nahi. Kyun ki Eman jis kay dil may rach bas jayega woh Islam kay a'amal zaroor anjam dega, lekin jo shakhs Islam kay zahiri a'amal anjam de raha hai zaroori nahi ki uss ka dil Eman par poori tarah mutmain ho.
  • Eman kay cheh (6) arkan hain (1) Allah par (2) uss kay Farishton par (3) uss ki kitabon par (4) uss kay Rasoolon par (5) Aakhirat (badle ka din / hisaab kitaab ka din) kay din par (6) taqdeer kay ache aur bure hone par Eman lana.
  • Ihsan ka lafzi maane hota hai: Kisi kaam ko umdah aur behtar andaz may karna. Istilah may Ihsan ki do qismey hain: Ek to Allah ki ibadat may ihsan jis ka iss hadees may zikr hai, yani Allah ki ibadat iss tarah karo goya uss ko dekh rahe ho aur agar tum uss ko nahi dekhte to woh yaqeenan tumhey dekh raha hai. Yani bandah aise shauq aur raghbat say Allah ki ibadat karey goya woh Allah ko apne dil ki aankhon say dekh raha hai aur agar uss ko ye muqaam hasil nahi to yeh yaqeen zaroor hona chahiyen ki Allah Ta'ala usey dekh raha hai. Ihsan ki doosri qism ye hai ki Allah kay bandon kay sath m'amlaat may acha sulook ka ravaiyya apnaya jaye, unn say muskrahat aur ache tareeke kay sath mila jaye.
  • Qayamat kay qayam honey ka (exact) waqt Allah kay siwa koyi nahi janta, kyun ki Nabi (ï·º) nay farmaya hai: Jis say poocha gaya hai woh poochne waley say zyadah nahi janta, yani qayamat kay waqt kay baare may saari makhlooq ka ilm ek saa hai aur Allah kay siwa kisi ko iss ki khabar nahi. Jo shakhs qayamat qayam honey kay waqt kay janne ka dawah karey woh jhoota hai aur jo uss kay dawey ki tasdeeq karey woh gumrah hai kyun ki ye ghaib daani ka dawah hai aur ghaib ka ilm Allah kay siwa kisi ko nahi.
  • 'Alim jawab na maloom honey par ye kahe ki mujhe maloom nahi, iss say uss kay muqaam aur martabey may koyi kami nahi hoti balki ye uss ki deen-daari ki daleel hai jaisa ki Nabi (ï·º) nay qayamat kay waqt ka ilm na honey par saaf saaf keh diya ki jis say poocha gaya hai woh poochne waley say zyadah nahi janta.
  • Iss hadees may Qayamat ki baaz nishaniyon ka bayan hai. Laundi apne aaqa ko janam degi. Yaani jo fatohaat (junge / wars) hongi aur laundiyan badh jayengi aur aise hee unn ki aulad bhee, phir maa apne aaqa ki laundi hogi aur uss say hone wali aulad uss kay aaqa kay darje may hogi. Iss ka ek matlab ye bhee bayan kiya gaya hai ki laundi say bachchi (ladki) paida hogi. Goya iss hadees may maal aur dawlat ki kasrat ki taraf isharah kiya gaya hai. Nez bahot say ulema nay iss hadees ka ye matlab bayan kiya hai ki Qayamat kay kareeb aulad nafarman ho jayegi aur apne maa baap kay sath ghulamo jaisa sulook karegi.
  • Aap nange pair, nange badan, faqeer logon ko dekhoge ki woh imaraton may ek doosre par fakhr karenge. Yani past qayamat kay log sardar ban jayenge aur maal ki iss qadar farawani ho jayegi ki oonchi imaratey (buildings) aur buland aur bala imaratey bananey may ek doosre say aage badh janey may fakhr ya muqabla karenge.
(Shrah Arbaeen Nawawi Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani)


Post a Comment

0 Comments