Abdullah bin Umar (Radhi Allahu Anhu) bayan karte hain:
(Sahih Bukhari, Kitabul Eman, Hadees 08)
(Sahih Muslim, Kitabul Eman, Hadees: 16)
(40 Hadees Nawawi: 03)
Shrah aur Fawaid
- Iss hadees may Islam kay panch bunyadi arkan ka bayan hai.
- Islam ka pehla rakan Shahadatyen hai jis ka matlab hai: Iss baat ki gawahee dena ki Allah kay siwa koyi mabood bar haq nahi aur Muhammad (ï·º) Allah kay Rasool hain. Iss ko Nabi (ï·º) nay pehla rakan qarar diya kyun ki iss kalime kay iqrar kay baghair jannat may dakhila aur jahannam say nijat namumkin hai aur koyi bhee ibadat Shahadatyen kay bina maqbool nahi. Ek ikhlas jo "La ilaha illallah" ka maane hai aur doosri itteba sunnat jo Muhammad Rasool Allah ka taqaza hai.
- La ilaha illallah ki shahadat ka taqaza ye hai ki har tarah ki 'ibadat aur pursatish kay layaq akela aur tanha Allah Ta'ala hai. Wahi sachcha aur bar haq mabood hai, uss kay siwa jin ki bhee 'ibadat ki jati hai woh jhoote mabood hain aur unn ki pooja karne waley batil parast hain.
- Muhammad (ï·º) ko Rasool manne ka taqaza ye hai ki aap kay hukmo ki ita'at (farmabardari) ki jaye, aap ki khabron ki tasdeeq ki jaye, aap ki mana ki huwi cheezon say ijtinab kiya jaye aur Allah ki 'ibadat ka wahi tareeqa apnaya jaye jo aap (ï·º) ki shariat may hai.
- Namaz qayam karne ka matlab ye hai ki uss ko Allah aur uss kay Rasool (ï·º) kay hukm kay mutabiq anjam diya jaye, uss kay sharoot-o-arkan aur wajibat-o-sunan ka lihaz kiya jaye aur khushu aur khuzu kay sath dil laga kar ada kiya jaye. Namaz ki pabandi karne waley kay liye badi khushkhabriyan hain. Qayamat kay din sab say pehle namaz hi ka hisab hoga jis ki namaz kharab rahi uss kay saare a'amaal kharab honge. (Jami at-Tirmidhi: 413)
- Zakat ada karne ka mafhoom ye hai ki apne maal may gharibon kay huqooq (rights) ka khayal rakha jaye aur zakat ko mustahqeen (jo uss zakat ko lene kay haqdar hon) tak pahonchaya jaye. Zakat ki adayigi say Allah ki rehmatey nazil hoti hain aur hars (lalach), tam'a aur bukhal (kanjoosi) jaise bure awsaf say nafs ko paki naseeb hoti hai. Iss kay bar khilaf (opoosite) zakat na ada karne say dunya may qahat saali padti hai aur aakhirat may iss maal ki takhtiyan bana kar aur usey aag may tapa kar zakat na dene waley ki peshani, pehlu aur peeth ko dagha jayega. Nez yahi maal ganje saanp ki shakal may aa kar uss kay galey ka tawq bana diya jayega aur usey apne jabdon say pakad kar kahega: Main tera maal aur tera khazana hoon. (Sahih Bukhari: 1403)
- Hajj karne ka matlab ye hai ki Allah ki 'ibadat ki gharaj say hajj kay maheeno (months) may Makkah Mukarramah ka rukh kiya jaye aur tawafe Kabah, Safa wa Marwah kay darmiyan sa'i, waqoofe Arafah, Muzdalifa aur Mina may shab (raat) ghuzari, rami jamraat aur halq wa taqseer wagairah jaisi makhsoos (khaas) ibaadaat baja lee jaye. Har sehatmand aur istitaat rakhney waley musalman par zindagi may ek baar hajj farz hai. Hajj maqbool ek bahot badi s'aadat hai jis ka badla jannat hai. (Sahih Bukhari: 1773) Nabi (ï·º) nay ek ahadees may irshad farmaya: Jis nay iss ghar ka hajj kiya, na koyi beyhuda baat ki aur na koyi bura kaam kiya to woh apne gunahon say uss din ki tarah paak hokar lawtega jis din uss ki maa nay usey jana tha. (Sahih Bukhari: 1061)
- Ramazan kay rozey say murad ye hai ki ramazan kay maheene may Allah ki ibadat ki gharaj say tulu fajr say ley kar ghuroob aaftab tak kahne peene aur jima, balki rozey ko khatam kar dene wali har cheez say door raha jaye.
- Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Jis nay Eman aur sawab hasil karne ki niyat say ramazan kay rozey rakhey uss kay pichle gunah bakhsh diye jayenge. (Sahih Bukhari: 38, Sahih Muslim: 760)
- Islam kay inn panch arkan may say kisi rakan ki farziyat ka inkar karte huwe usey chor dene wala kafir ho jayega. Albatta susti aur kaahili say chorney wala sakht gunahe kabeerah ka murtkab aur faasiq hoga, lekin deen islam say kharij nahi hoga siwaye namaz kay ki muhaqqaqeen ahle ilm ki ek motbar tadaad nay susti aur kaahili say bhee namaz chorney waley ko kharij azmillat qarar diya hai.
(Shrah Arbaeen Nawawi Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani)
0 Comments