Abdullah bin Masood (Radhi Allahu Anhu) say rivayat hai:
(Sahih Bukhari, Kitab Bad'i al-Khalq, Hadees 3208)
(Sahih Muslim, Kitabul Qadr, Hadees: 2643)
(40 Hadees Nawawi: 04)
Shrah aur Fawaid
- Maa (Mother) kay peyt (womb) may bachche ki takhleeq (creation) kayi marahil (stages) say guzarti hai. Chalees din nutfe ki shakal may, phir chalees din khoon kay lothrey ki shakal may, phir chalees din gosht ki boti ki shakal may aur ek saw bees din (120 days) mukammal hone kay baad uss may rooh phoonki jati hai.
- Bachche ki takhleeq ka inn marahil say guzarna Allah Azzawajal ki hikmat say hai.
- Bachche ki taqdeer likhne kay liye Allah Ta'ala ki taraf say ek farishta muqarrar hai.
- Peyt kay bachche par ek saw bees din guzar jane kay baad isqaat (abortion) jayaz nahi kyun ki itne dino kay baad uss kay jism may jaan daal dee jati hai aur kisi jaan ko na haq qatal karna haraam hai. Albatta iss say pehle isqaat kay baare may ulema ka ikhtilaf hai magar zyadah sahih baat yahi hai ki woh bhee jayaz nahi. Han agar uss kay isqaat may koyi sharai maslahat ho ya isqaat na karne may maa ki sehat ko khatrah ho to uss may haraj nahi.
- Rooh phoonke jane kay baad jo bachcha peyt say gir jaye uss ko ghusal diya jayega aur uss ki takfeen aur tadfeen ki jayegi aur uss par namaze janazah padhi jayegi. Rooh phoonke jane say pehle isqaat ka ye hukm nahi.
- Insaan ki taqdeer uss ki maa kay peyt hee may likh dee jati hai, isey taqdeer umri kehte hain aur isse qibl (pehle) lawhe mahfooz may bhee taqdeer likhi jaa chuki hai, isey taqdeer azli kehte hain. Har saal (Ramazan may) shab qadr may bhee taqdeer likhi jati hai, isey taqdeer hawli kehte hain.
- Taqdeer par Eman ka taqaza ye hai ki insaan Allah kay taqseem kardah rizq par razi rahey, kyun ki wahi uss ki qismat may hai aur uss rizq ki takmeel kay baghair uss ki maut nahi ho sakti . Admi doosron ki dawlat par nazar na rakhey aur na bila zaroorat kisi kay samney haath na phailaye, balki rozi kamaney kay halal asbaad aur zariye ko apnaye. Nabi Kareem (ï·º) ka irshad hai: Jo paak daamani chahta hai Allah Ta'ala usey paak daaman rakhta hai aur jo beniyazi chahta hai Allah Ta'ala usey beniyaz kar deta hai (Sahih Bukhari: 1479, Sahih Muslim: 1053).
- Har insaan ka 'amal aur anjaam dono taqdeer may likha huwa hai. Agar koyi pooche ki phir 'amal ki kya zaroorat hai? To iss ka jawab ye hai ki yahi sawal Sahaba (Radhi Allahu Anhuma Ajmaeen) nay Nabi (ï·º) say poocha tha to aap nay iss ka jawab dete huwe irshad farmaya: 'Amal karo kyun ki har shakhs kay liye wahi raasta aasaan hoga jis kay liye usey paida kiya gaya hai. Agar nek bakht hai to nek bakhton ka sa 'amal uss kay liye aasaan hoga aur agar badd bakht hai to badd bakhton ka sa 'amal (Sahih Bukhari: 1362, Sahih Muslim: 2647). Agar aap apne dil may Allah ki itaat aur farmabardari ki raghbat paa rahe hain to ye khush aayind baat hai aur agar iss kay bar khilaf koyi aur halat hai to jald say jald apne dil ka 'ilaj karey.
- Qasam ka mutalba kiye baghair qasam khana jayaz hai. Ahadees may jis baat par qasam khayi gayi hai woh ek ghaibi cheez thee, iss liye qasam kay zariye say uss ki takeed ki zaroorat thee.
- Hadees say bazahir ye maloom hota hai ki kabhi kabhi insaan nek 'amal karne kay bawjood maut say pehle tawfeeq say mahroom ho kar jahannam raseed ho jata hai, lekin Sahih Bukhari aur Sahih Muslim hee ki ek doosri ahadees say iss ki wajahat ho jati hai. Uss may hai ki insaan logon kay dekhne may jannatiyon ka sa 'amal karta rehta hai, hala ki woh jahannami hota hai aur ek aadmi logon kay dekhne may jahannamiyon ka sa 'amal karta rehta hai hala ki woh jannati hota hai (Sahih Bukhari: 2898, Sahih Muslim: 112)
- Iss ahadees say ek musalman ko ye sabaq milta hai ki woh bure khaatmey say hamesha darta rahey, hamesha apne dil ko paak saaf rakhey aur posheedah gunahon say door rahe ki unn ka nateeja bahot bhayanak hai. Sath hee Allah Ta'ala kay deen par sabit qadmi ki dua karta rahey: Ya muqallibal qulub sabbit qulubana 'alaa deenika (Aye dilo kay pherney waley hamare dilon ko apne deen par jama dey). (Jami Tirmidhi: 2140, Hukm: Sahih)
- Jis Rab nay insaan ko mukhtalif marahil (stages) say guzarte huwe dunyawi zindagi 'ataa farmayi, marne kay baad dobarah zindagi 'ataa karna uss kay liye bahot aasaan hai, lihaza insaan ko uss Rab kay saamney hazir honey ka waqt kabhi faramosh nahi karna chahiyen.
(Shrah Arbaeen Nawawi Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani)
0 Comments