Sari tareefey Allah Ta'ala hee kay liye khas hain jis nay apne bandey par kitab utari jo har cheez ki wazahat karne wali aur Eman walon kay liye hidayat, rehmat aur khush khabri hai. Amma B'ad!
Lafz Quran kay m'aney (meaning) kay baare may (ulema kay) kayi aqwaal (sayings, statements) hain. Sab say zyadah mashoor qawl (saying, statement) ye hai ki ye qara ka misdar (infinitive) hai aur iss kay m'aney (meaning) padhney kay hain. Jaisa ki Allah Ta'ala ka irshad hai:
Aye Nabi! Aap Quran ko jaldi (yaad karney) kay liye apni zaban ko harkat na dey. Iss ka jama karna aur (aap ki zaban say) padhna hamare zimme hai. Hum jab isey padh ley to aap iss kay padhney ki pairwi karey. (Al-Qiyamah: 16-18)
Agarche Quran ka lafz misdar hai, lekin ye ism (naam) maf'ool kay m'ano may hai aur iss say murad ek khas padhi jane wali kitab hai.
Quran kareem ek behtareen kitab hai jo ashraful Ambiya (sab say afzal Nabi aur insaan) par iss behtareen ummat kay liye nazil ki gayi jisey tamam logon kay liye paida kiya gaya hai. Iss ki shariat tamam shariaton say afzal, aasaan aur mukammal hai. Ye Allah Ta'ala ka woh Kalaam (speech of Allah or word of Allah) hai jo Jibreel (alayhi salam) kay zariye say khatamul Ambiya (Aakhri Nabi) Muhammad (ï·º) par nazil kiya gaya jo zabano par jaari, seeno may mahfooz aur musahaf may maktoob hai aur tavaatur (following in succession, succession, continuation ) kay sath hum tak manqool hai aur phir hume iss ki tilawat ka hukm diya gaya hai. Surah Fatiha say shuru aur Surah Naas par khatam hota hai. Allah Ta'ala nay farmaya hai:
Aur beshak ye (Quran) yaqeenan Rabbul 'Alameen (tamam jahano kay Rab) ka nazil kiya huwa hai. Jisey amanat daar farishta ley kar utra hai. Aap kay dil par taa ki aap daraney walon say ho jayen. (Ash-Shu'ara: 192-194)
Allah Ta'ala nay Quran kareem isliye nazil farmaya taa ki ummat kay liye dastoor aur makhlooq kay liye hidayat ka zariya ho. Jaisa ki Allah Ta'ala nay farmaya:
Aur hum nay aap par ye kitab (Quran) nazil ki, iss haal may ki har cheez ka wajeh bayan hai aur farmabardaon kay liye hidayat aur rehmat aur khush khabri hai. (An-Nahl: 89)
Aur ek doosri jagah irshad farmaya:
Yaqeenan tumhare paas tumhare Rab ki taraf say ek wajeh nishani (kitab) aur hidayat aur rehmat aa gayi hai. (Al-An'am: 157)
Aur ek jagah irshad farmaya:
Aye logon! beshak tumhare paas tumhare Rab ki taraf say naseehat aa gayi hai. Woh tumhare dilon kay liye shifa hai aur Eman walon kay liye hidayat aur rehmat (Yunus: 51)
Nez isliye ki Rasool Allah (ï·º) ki sachchai ki nishani, aap ki nabuwat aur risalat par roshan daleel aur qayamat tak hujjat qayam ho sakey. Allah Ta'ala irshad farmata hai:
Kah dijiyen agar sab insaan aur jin jama ho jayen ki iss Quran jaisa bana laayen to iss jaisa nahi laa sakenge, agarche woh ek doosre kay madadgaar bhee bann jayen. (Al-Isra: 88)
Quran isliye nazil kiya gaya taa ki musalman isey padhey kyun ki iss kay padhney say har huruf kay badley das (10) nekiyan milengi (Jami at-Tirmidhi: 2910). Iss kay alawah iss ki aayaat (verses) may ghaur karey, iss kay m'aaney ko sochey, samjhey, iss may jis kaam ko karne ka hukm hai uss ko baja laaye, aur iss may jis kaam say mana kiya gaya hai uss say parhez karey aur jo w'adah, w'aeed, sawab aur 'azaab iss may diye huwe hain unn say naseehat hasil karey. Allah Ta'ala irshad farmata hai:
(Ye Quran) ek kitab hai, hum nay isey aap ki taraf nazil kiya, badi barakat wali hai taa ki woh iss ki aayaton par ghaur karey aur aqal-mand iss say naseehat hasil karey. (Sad: 29)
Iss kay nazool ka maqsad ye tha ki musalman iss par 'amal karey, iss kay halal ko halal aur haraam ko haraam samjhey, iss ki mohkam aayaat (woh aayatey jin ka matlab bilkul saaf hai) par 'amal karey aur mutshabihaat (woh aayatey jin ka matlab aur haqeeqat Allah Ta'ala kay siwa koyi nahi janta) par Eman laayen aur iss ki tilawat karey jis tarah iss ki tilawat ka haq hai taa ki woh qayamat kay din unn kay parwardigaar kay yahan unn kay liye hujjat aur sifarashi bane. Aap (ï·º) nay farmaya hai:
Quran tere haq may ya tere khilaf hujjat (proof) hoga.
(Sahih Muslim, Kitab al-Taharat, Hadees: 223)
Jo shakhs Quran padhey aur uss par 'amal karey, uss kay liye Allah Ta'ala nay zamanat dee hai ki woh dunya may gumrah hoga na aakhirat may musibat may padega. Allah Ta'ala farmata hai:
Farmaya tum dono ek sath iss (jannat) say utar jao, tum may say baaz baaz ka dushman hai, phir agar kabhi waq'aee tumhare paas meri taraf say koyi hidayat aaye to jo meri hidayat kay peeche chala to na woh gumrah hoga aur na musibat may padega. (Taha: 123)
Aur hadees may aata hai, Zaid bin Arqam (Radhi Allahu Anhu) rivayat kartey hain ki Rasool Akram (ï·º) nay farmaya:
Khabardar! main tumhare darmiyan do aham cheezey chorey jaa raha hoon: Inn may say ek Allah ki kitab hai jo ki Allah ki rassi hai, lihaza jo iss ki pairwi karega woh to hidayat par hoga aur jo iss ko chor dega woh gumrah hoga.
(Sahih Muslim, Fazail Sahaba, Hadees: 2408)
Aur ek doosri hadees may aata hai, Rasool Akram (ï·º) nay farmaya:
Yaqeenan iss Quran ka ek sira (end) Allah kay hath may hai aur doosra tumhare hath may, lihaza isey mazbooti say thaame rakho aur isey thaamne kay baad tum kabhi halaak hogey na gumrah hogey.
(Sahih al-Jami al-Sagheer: 34)
Aur Allah Ta'ala nay Quran ka naam rooh rakha kyun ki haqeeqi zindagi ka inhisaar isi par hai, nez iss ka naam noor bhee hai kyun ki hidayat isi par mawqoof hai. Allah Ta'ala ka irshad hai:
Aur isi tarah hum nay aap ki taraf apne hukm say ek rooh (Quran) ki wahee ki. Aap nahi jantey thay ki kitab kya hai aur Eman kya hai? Lekin hum nay isey noor bana diya, hum apne bandon may say jisey chahey iss kay zariye say hidayat dete hain. Aur bila shuba aap seedhe raastey hee ki taraf rehnumai kartey hain. (Ash-Shuraa: 52)
Reference:
1. Fazail Quran - Shaykh Abdullah bin Jarullah bin Ibraaheem al-Jarullah (Rahimahullah)
2. Quran ki 'azmat wa fazilat - Professor Maulana Muhammad Rafeeq Chaudhri
0 Comments