Allah kay naam say jo bada meharban nihayat reham wala hai.
Tamam t'areefey uss Allah Subhan-o-Ta'ala kay liye hain jis nay apni kitab ko apni hamd kay sath shuru kiya aur farmaya: Tamam t'areefey Allah hee kay liye hain jo saare jahano ka parwardigaar hai. Bada meharban nihayat reham wala. Badley kay din ka Malik hai (Al-Fatiha: 2-4). Doosri jagah farmaya: Sab t'areef Allah kay liye hai jis nay apne bandey par kitab nazil ki aur iss may koyi kaji (kasar baaqi) na rakhi (Al-Kahf: 1). Yani sab t'areef Allah Ta'ala kay liye hee hai jis nay apne bandey par Quran kareem nazil kiya jis may koyi kaji nahi. Jo hamesha deen ko qayam rakhney wala hai, taa ki Allah Ta'ala kay sakht 'azaab say Allah ka paighambar logon ko khabardar kar dey aur jo log Eman laa kar nek a'amaal karte hain unhe unn kay behtareen aur hamesha wale badley ki khush khabri suna dey aur jo log apne jahil baap dada ki suni sunayi baaton par Allah ki aulad mantey hain unhe bhee chawkanna kar dey ki ye bahot badi jasarat aur jhooti baat hai jo unn ki zaban say nikal rahi hai.
Jis tarah uss parwardigaar nay apni kitab ko hamd say shuru kiya usi tarah uss nay apni makhlooq ko bhee apni hamd say shuru kiya. Irshad hota hai: Sab t'areef Allah hee kay liye hai jis nay aasmaan aur zameen ko aur andhere aur ujale ko paida kiya, lekin kuffar bawjood iss kay bhee Allah ka shareek thairatey hain (Al-An'am: 1). Isi tarah makhlooq ka khatma bhee apni hamd-o-sana par kiya. Ahle jannat aur ahle jahannam kay anjaam ka bayan kar kay irshad hota hai: Tu dekhega ki farishte Allah Ta'ala kay 'arsh ko chaaron taraf say gherey huwe honge. Aur apne Rab ki hamd-o-sana, tasbeeh-o-taqdees bayan kartey honge. Faisley haq (insaaf) kay sath ho chuke honge aur keh diya gaya hoga ki tamam t'areefey Allah Rabbul 'Alameen hee kay liye hain (Al-Zumar: 75). Isliye Allah Ta'ala ka farman hai: Wahi Allah hai jis kay siwa koyi m'abood nahi hai aur usi taraf tum lawtaye jaoge (Al-Qasas: 70). Doosri jagah irshad hota hai: Sab t'areefey Allah hee kay liye hain aasmaan aur zameen ki tamam cheezey usi ki milkiyat hain. Aakhirat may bhee hamd usi kay liye hai wahi hikmat wala aur khabardar hai (Saba: 1).
Awwal aur aakhir usi ki t'areef hai yani jo kuch uss nay paida kiya hai aur jo kuch paida karega woh unn sab may t'areefon wala hai. Jaisa ki namazi (Sami'allahu) kay baad kehta hai: Allahumma Rabbana wa lakal-hamd, mil'as-samawati wa mil'al-ardi wa mil'ama shi'ta min shai'in ba'd (Aye Allah! tere hee liye sab t'areefey hain, aasmaan aur zameen bhar janey kay barabar aur unn kay baad bhee jis cheez ko tu bhar dena chahey) (Sahih Muslim: Kitab as-Salat, Hadees: 471). Isiliye jannati log bhee hamd-o-sana ka ilhaam kiye jayenge aur unn kay saans kay sath hee bila takalluf Allah Ta'ala ki t'areef aur uss ki tasbeeh ada hoti rahegi (Sahih Muslim, Kitab Al-Jannah, Hadees: 2835).
Kyun ki Allah Ta'ala ki 'azeemul shaan n'ematey aur uss ki qudrat kaamila aur uss ki zabardast saltanat aur maslasal rehmatey aur uss kay hameshgee wale ahsanaat unn kay pesh nazar honge. Isi ko Quran kareem nay bayan farmaya: Yaqeenan jo log Eman laaye aur unho nay nek kaam kiye unn ka Rab unn ko unn kay emaan kay sabab unn kay maqsad tak pahoncha dega, n'emat kay bagho (gardens) may jin kay neeche nahrey jari hongi. Unn kay muh say ye baat niklegi 'Subhan Allah' aur unn ka apas may salam ye hoga 'Asslaam 'Alaykum' aur unn ki aakhiri baat ye hogi 'tamam tareefey Allah kay liye hain jo saare jahan ka Rab hai' (Yunus: 9-10). Allah hee kay liye tareef hai. Jis nay apne Rasoolon ko khush khabri dene wala aur khabardar karne wala bana kar bheja taa ki Rasoolon kay aa janey kay baad logon ki koyi hujjat Allah Ta'ala par baaqi na rahey (An-Nisa: 165). Inn Rasoolon ka silsila Nabi ummi 'arabi Makki Madani (ï·º) par khatam kiya. Jo sab say zyadah wajeh raah ki hidayat karney waley hain.
Aap (ï·º) kay zamane say ley kar qayamat tak jitne jinnat aur insaan hain sab ki taraf aap ki risalat hai jaisa ki Quran kareem may hai: Kaho aye logon! beshak main tum sab ki taraf Allah ka Rasool hoon, woh (Allah) ki aasmaano aur zameen ki badshahi sirf uss ki hai, uss kay siwa koyi m'abood nahi, woh zindah karta hai aur maarta hai, pass tum Allah par aur uss kay Rasool Nabi ummi par emaan lao, jo Allah aur uss ki baaton par emaan rakhta hai, aur uss ki pairwi karo taa ki tum hidayat pao (Al-A'raf: 158). Doosri jagah Allah ka irshad hai: Taa ki main tumhe iss kay sath daraun aur usey bhee jis tak ye pahonchey (Al-An'am: 19). Pass jis 'arabi 'ajami, kaley gorey insaan ko ye Quran pahoncha to Nabi (ï·º) uss kay liye daraney waley hain. Isliye Allah Ta'ala nay farmaya: Jo iss ka inkaar karey to aag hee uss kay w'adey ki jagah hai (Hud: 17). Doosri jagah Quran kareem ka irshad hota hai: Pass chor mujhe aur uss ko jo iss baat ko jhutlata hai, hum zaroor unhe aahista aahista (halakat ki taraf) iss tarah say ley jayenge ki woh nahi janenge (Al-Qalam: 44). Rasool Allah (ï·º) farmate hain: Meri paighambari 'aam hai. Main har surkh aur syah ki taraf paighambar bana kar bheja gaya hoon (Sahih Muslim, Kitab Al-Masajid, Hadees: 521). Mujahid (Rahimahullah) farmate hain: Yani tamam jin aur insaan ki taraf. Pass Nabi (ï·º) tamam insaano aur jinnat ki taraf Allah Ta'ala kay Rasool hain. Sab ko Allah kareem ki wahee aur 'izzat waley Quran ko Aap (ï·º) pahonchane waley hain jis paak kitab kay paas kisi taraf say baatil phatak hee nahi sakta jo hikmaton aur t'areefon waley Allah ka nazil kiya huwa hai.
0 Comments