Ummul Momineen Umme Abdullah Aisha (Radhi Allahu Anha) say rivayat hai:
Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Jis nay hamare iss deen may koyi aisi cheez ijaad ki jo iss may nahi hai to woh mardood (na qabil qubool) hai.
Aur Muslim ki rivayat kay alfaz iss tarah hain: Jis nay koyi aisa 'amal (kaam) kiya jis par hamara hukm nahi to woh mardood hai.
(Sahih Bukhari, Kitab As-Salat, Hadees 2697)
(Sahih Muslim, Kitab Al-Aqziyat, Hadees: 1718)
(40 Hadees Nawawi: 05)
Shrah aur Fawaid
- Ye hadees islam ka ek 'azeem usool hai. Ye har 'amal kay zahir ko parakhney kay liye ek paimana hai jaisa ki hadees: Tamam a'amaal ka daromdaar niyato par hai (Sahih Bukhari: 01) har 'amal kay batin ko parakhney ka paimana hai. Jis tarah har uss 'amal ka koyi sawab nahi jis say Allah ki raza maqsood nahi, usi tarah har woh 'amal, karne waley kay muh par maar diya jayega aur harghiz qabil qubool na hoga jo Allah aur uss kay Rasool (ï·º) kay hukm kay mutabik na hoga.
- Ye hadees iss baat ki daleel hai ki kisi bhee 'amal ka Allah kay yahan qubool honey kay liye ittebae Rasool (ï·º) shart hai.
- Ye hadees bid'at kay haraam hone ki daleel hai kyun ki bid'at deen may ijaad kardah har uss 'amal ka naam hai jis ki shariat may koyi asal na ho. Nez Nabi (ï·º) ka irshad hai: Har bid'at gumrahi hai (Sunan Abi Dawood: 4657, Jami at-Tirmidhi: 2676, Musnad Imam Ahmad: 4/126, Sahih Ibn Hibban: 102).
- Deen Islam mukammal ho chuka hai aur ab iss may kisi izaafey ki gunjaish nahi hai.
- Har bid'at mardood hai lihaza bid'at hasana aur bid'at saiyya ki taqseem batil hai. Aur jin logon nay bid'at ki panch qismey zikr ki hain: wajib, mandoob, mubah, haraam aur makrooh unn logon ki taqseem bhee ghalat hai.
- Iss hadees say m'aloom hota hai ki Nabi (ï·º) apni ummat kay liye nihayat shafeeq aur meharban aur hamdard aur khayer khawah thay, isi bina par aap nay apni ummat ko har uss cheez say aagah aur khabardar kar diya jo a'amaal ki barbadi aur 'adm qubooliyat ka sabab ho sakti hai.
(Shrah Arbaeen Nawawi Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani)
0 Comments