Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) bayan kartey hain:
Rasool Allah (ï·º) nay irshad farmaya: Beshak Allah Ta'ala pak hai aur pakizah cheez hee ko qubool farmata hai aur Allah nay momino ko bhee isi baat ka hukm diya hai jo Rasoolon ko diya hai, chunanche irshad hai: Aye Rasoolon! pakizah rizq khao aur nek 'amal karo (Al-Mominoon: 51). Nez irshad hai: Aye Emaan walon! hum nay tumhe jo rozi dee hai uss may say pakizah rizq khao (Al-Baqarah: 172). Phir aap (ï·º) nay ek shakhs ka zikr kiya jo lambe safar par hai, baal bikhre huwe hain, gard aur gubaar may ataa huwa hai, apne dono hath aasmaan ki taraf utha kar pukar raha hai: Ya Rab! Ya Rab! lekin (haal ye hai ki) uss ka khana haraam hai, uss ka peena haraam hai, uss ka libas haraam hai, wo haraam hee par pal raha hai, ab uss ki dua kaise qubool ho sakti hai?
Shrah aur Fawaid
- Allah Ta'ala ka ek naam "Tayyib" hai yaani har tarah kay 'ayebo aur naqais say paak hai. Allah Ta'ala apni zaat aur sifaat aur aqwaal aur af'aal may tayyib aur pakizah hai, kahi kisi qisam ka 'ayeb aur nuqs nahi hai.
- Allah Ta'ala sirf pakizah cheeze hee qubool farmata hai chahey woh aqwaal aur a'amaal hon ya sadqat aur zakat hon. Agar aqwaal aur a'amaal shirk aur riya (dikhawe) wagairah say pak nahi to woh Allah Ta'ala kay yahan maqbool nahi aur agar sadqat halal maal say nahi balki sood (riba / interest), rishwat, juwa, lottery, chori, ghasab ya kisi aur haraam tareeqe say hasil kee huwi hai to aise maal ka sadqa Allah Ta'ala kay yahan qabiley qubool nahi hai.
- Rasoolon aur unn ki ummaton ko pakizah rizq khane aur nek 'amal kar kay Allah ka shukr baja laney ka hukm diya gaya hai.
- Iss hadees may dua ki qubooliyat kay kuch asbab zikr kiye gaye hain: (1) Lamba safar. Safar agarchey taweel na ho phir bhee dua ki qubooliyat ka sabab hai. Nabi kareem (ï·º) ka irshad hai: Teen duae bila shak aur shuba qubool hoti hain: mazloom ki dua, musafir ki dua aur aulad kay liye walid ki dua (Sunan Abi Dawood: 1536, Hukm: Hasan). Watan say doori aur mushaqqatey jhelne ki wajah say safar may insan par lachari aur 'aajizi ki kaifiyat zahir hoti hai aur ye halat Rab kareem ko bahot pasand hai. (2) Libas aur shakal aur soorat ki pura gandagi aur ghubar aaloodgee. (3) Aasman ki taraf apne dono hath uthana. Nabi (ï·º) farmate hain: Allah Ta'ala bahot hayadar aur nihayat kareem hai. Jab bandah apne dono hath uss ki taraf uthata hai to Allah ko unhey khali aur na murad wapis karne say haya aati hai (Sunan Abi Dawood: 1488, Hukm: Sahih). (4) Allah Ta'ala kay Asma'a aur sifaat ka waseela. Ahadees may hai ki woh shakhs Ya Rab Ya Rab keh kar Allah Ta'ala ki Raboobiyat ka waseela dey raha hai. Allah 'Azzawajal ka irshad hai: Allah hee kay ache ache naam hain lihaza unn naamo kay wastey say Allah say dua karo (Al-A'araf: 180). Quran ki duao par ghaor karne say m'aloom hota hai ki unn may say aksar duae Rabbana say shuru hoti hain. (5) Ahadees may mazkoor shakhs apne matloob ka mukammal harees aur baar baar Ya Rab keh kar israr kar raha hai. Dua may Nabi (ï·º) ki sunnat bhee yahi thee ki aap (ï·º) ek dua ko teen teen baar dohraya karte thay (Sahih Bukhari, kitab Al-Wuzu, Hadees: 240; Sahih Muslim, Kitab Al-Jihad, Hadees: 1794).
- Ahadees may dua ki qubooliyat may payi janey wali rukawaton may ek rukawat ka bayan hai aur woh hai haraam khana. Jo tamam rukawaton may sab say zyadah khatarnak hai. Doosri rukawat wajibat ko chorna aur mana (gunah kay) kaamo ka karna hai (Jami at-Tirmidhi, kitab Al-Fitan, Hadees: 2169). Teesri rukawat qubooliyat may jald bazi karna aur kehna ki main nay dua ki aur meri dua qubool na huwi (Sahih Bukhari, kitab Al-Dawaat, Hadees: 6345). Chawthi rukawat gunah ya rishte todne ki dua karna hai (Sahih Muslim, kitab Al-Zikr Wal Dua, Hadees: 2735). Wazeh rahe ki dua ki qubooliyat sirf yahi nahi ki bandah jo kuch maang raha hai usey b'aeena woh cheezey mil jaye balki iss kay doosre bhee andaz hain jo ahadees may zikr kiye gaye hain. Allah kay Rasool (ï·º) nay farmaya: Zameen par jab koyi musalman Allah Ta'ala say dua karta hai to Allah usey woh cheez 'ata farma deta hai ya usi jaisi koyi musibat taal deta hai basharte ki uss nay gunah ya qata rehmi ki dua na ki ho. Ek shakhs nay kaha: Tab to hum bahot dua karenge. Aap (ï·º) nay farmaya: Allah bahot dene wala hai (Jami at-Tirmidhi, kitab Al-Dawaat, Hadees: 3573, Hukm: Sahih). Mustadrak Hakim ki rivayat may qubooliyat ka ek aur andaz marvi hai, woh ye: Allah Ta'ala usi jaisa ajr aur sawab uss kay liye zakheera farma deta hai (Mustadrak Lil Hakim, 1/463; Musnad Ahmad: 11150; Mishkatul Masabeeh, Hadees: 2259, Hukm: Hasan).
0 Comments