Main nay Rasool Allah (ï·º) ko farmate huwe suna: Jis cheez say main tumhe mana karoon uss say ruk jao aur jis cheez ka hukm doon usey apni istitaat (qudrat aur taqat) kay mutabik poora karo, kyun ki tum say pehlon ko sawalo ki kasrat aur apne Nabiyon say ikhtilaf (disagreement) hee nay halaak (tabah / destroy) kiya.
(Sahih Bukhari, Kitab Al-Itisam bil kitab wal sunnah, Hadees: 7288)
(Sahih Muslim, Kitab Al-Fazail, Hadees: 1337)
(40 Hadees Nawawi: 09)
Shrah aur Fawaid
- Allah aur uss kay Rasool (ï·º) ki mana kardah cheezon say har haal may bachna zaroori hai kyun ki ye baat yaqeeni hai ki Allah aur uss kay Rasool (ï·º) nay jin cheezon say roka hai uss may bandon hee ki maslahat (khayer / bhalayi / achai) hai aur Allah apne bandon ki maslahton say khoob waqif hai.
- Har mana ki huwi cheez say bachna farz hai kyun ki irshad hai: Jis say main mana kar doon uss say ruk jao. Ghaur karney say maloom hota hai ki nahi may kisi cheez kay irtkaab ki rukhsat nahi dee gayi hai jab ki amr may istitaat ki qaid laga dee gayi hai. Balki uss say bhee aage badh kar mana kardah cheezon kay asbaab aur muqadmaat tak say bachna zaroori qarar diya gaya hai. Misal kay taur par Allah Ta'ala ka irshad hai: zina kay qareeb mat jao (Al-Isra: 32). Isliye zina tak pahochaney wali har cheez haraam hai.
- Allah aur uss kay Rasool (ï·º) kay hukmo ki baja aawari (farmabardari) farz hai jab tak ki uss hukm ko istehbab ki taraf pher dene wali koyi doosri daleel na ho.
- Islam ek aasaan deen hai, iss kay andar ek shakhs ko sharai awamir aur hukmo ko iss qadar mukallif kiya gaya hai jitni uss kay andar taqat aur istitaat hai. Agar koyi kisi hukm ko poore taur par ada karne say 'aajiz ho ya sirf uss ka baaz hissa ada kar sakta ho to uss kay liye mumkin hadd tak ibadat ki adaeegi kafi hai. Misal kay taur par wuzu ki istitaat na ho to tayammum kar ley, khadey ho kar namaz ada karne ki taqat na ho to baith kar namaz padh ley aur baithney ki bhee taqat na ho to leyt kar ishare say padh ley.
- Iss hadees say zyadah sawal karne ki mumanat m'aloom hoti hai khaas kar uss waqt jab ki wahee (revelation) ka nuzool ho raha tha aur ye imkaan (possibility) tha ki kisi kay sawal ki bina (wajah / reason) par kisi halal ko haraam karar diya jaye aur kisi ghair wajib ko wajib kar diya jaye. mamnu'a sawalaat ki bahot see qismey (categories) hain, ek to ye ki aise ghaibi umoor (kaam) say mutalliq sawal kiya jaye jis ka ilm Allah nay kisi ko nahi diya, misal kay taur par qayamat kab aayegi ya qabar (grave) kay 'azaab aur aaraam ki kaifiyat kya hai? Ya Allah Ta'ala ki sifaat (attributes) ki kaifiyat kay mutalliq sawal kiya jaye to uss ka jawab ye diya jayega ki jis tarah Allah ki zaat kisi zaat kay mushaba nahi waise hee uss ki sifaat kisi ki sifaat kay mushaba nahi aur unn ki kaifiyat aur haqeeqat ko sirf Allah hee janta hai.
- Mana sawalaat may woh farzi sawalaat bhee shamil hain jo abhi waqe (zahir) nahi huwe. Salaf saliheen iss tarah kay sawalat sakht na pasand kartey thay. Albatta deeni masail janne kay liye kisi masley may Allah aur uss kay Rasool ka hukm m'aloom karna zaroori hai. Allah Ta'ala irshad farmata hai: Agar tum nahi jantey to ahle ilm say daryaft kar lo (An-Nahl: 43).
- Rasool Allah (ï·º) kay zamaney may jab ek zakhmi shakhs nay ghusal wajib honey ki halat par ghusal kar liya jis say woh mar gaya to aap nay farmaya: kya jahil ki shifa sawal kar lena nahi hai? (Sunan Abi Dawood: 337, Hukm: Sahih). Taharat (paaki / purification) aur namaz, rozah aur zakat, hajj aur umrah, khareed aur farokht, nikah aur talaq wagairah kay masail zaroorat kay mutabiq pooch kay seekhna (har musalman mard aur aurat par) farz hai.
- Rasool Allah (ï·º) ki mukhalifat deen aur dunya kay khasarey (nuksaan) ka ba'as (zariya) hai. Allah Ta'ala irshad farmata hai: Suno jo log Rasool kay hukm ki mukhalifat kartey hain unhey darte rehna chahiyen ki kahin unn par koyi zabardast aafat na aa parey ya unhey koyi dardnak 'azaab aa pahonche (Al-Noor: 63).
(Shrah Arbaeen Nawawi Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani)
0 Comments