Deen khayer khawahi ka naam hai - Hadees 07 (40 Hadees Nawawi)


Tameem ibn Aus ad-Daree (Radhi Allahu Anhu) bayan karte hain:

Rasool Allah (ï·º) nay farmaya: Deen (religion) naseehah (khayer khawahi, advice, sincerity) ka naam hai. Hum nay poocha: kis ki khayer khawahi ka? Aap (ï·º) nay farmaya: Allah ki, uss ki kitab ki, uss kay Rasool ki, musalmano kay haakimo (leaders) aur 'awaam ki.

(Sahih Muslim, Kitab Al-Emaan, Hadees: 196)
(40 Hadees Nawawi: 07) 

Shrah aur Fawaid

  • Ye badi 'azeemul shaan hadees hai, iss may poore deen ko naseehat aur khayer khawahi may mahsoor kar diya gaya hai, kyun ki jab tak musalmano may ye cheez baaqi rahegi unn ka deen mazboot aur mustahkam rahega aur jab ye cheez unn may kamzor pad jayegi to woh khud bhee zindagi kay tamam maidano may zawaal aur inhitaat ka shikar aur kamzor hote chale jayenge.
  • Naseehat lughat may khuloos kay m'aney (meaning) may aata hai. Jab shehad (honey) ko mom say alag kar kay khalis shehad banatey hain to kehte hain: Naseehatul 'asl. Aur aise hee rafu giri kay m'aney may bhee aata hai jab chakdamini rafu karti hai to kehte hain: Naseehatul sawb. Naseehat nihayat jami lafz hai. Urdu may iss kay liye khayer khawahi ka lafz kisi qadr munasib hai.
  • Allah Ta'ala ki khayer khawahi may darj zeyl baate shamil hain: (1) Allah par Emaan aur uss ki tawheed ka sahih aqeedah. Yani woh apni Raboobiyat, Al-Wahiyat aur Asma-o-sifaat may akela aur bemisaal hai. (2) Allah ki shukr ghuzari, uss nay jin kaamo kay karne ka hume hukm diya hai unn ko baja lana aur jin kaamo say uss nay roka hai unn ko karney say parhez karna. Jahan hukm hai wahan say bandah ghayab na ho aur jahan mana kiya hai wahan bandah nazar na aaye. Yahi Allah Ta'ala say mohabbat ki 'alaamat (nishani) hai. (3) Har qism ki 'ibadat, dua, madad talab karna, fariyaad karna, tawaqqul (bharosa), khauf aur ummeed, nazar aur qasam wagairah khalis Allah Ta'ala kay liye karna. (4) Allah ki taraf logon ko bulana aur uss raah may aane wali har musibat khandah peshani say gawara karna aur sabr say kaam lena. (5) Allah kay liye kisi say mohabbat karna aur Allah kay liye nafrat karna.
  • Kitab Allah ki khayer khawahi may hasab zeyl umoor dakhil hain: (1) Iss baat par Emaan ki ye Allah ka kalaam hai makhlooq nahi hai. Allah Ta'ala nay usey Jibreel (alayhi salam) kay zariye say apne bandey Muhammad (ï·º) kay dil par nazil farmaya hai. Uss kay huroof aur m'aaney sab Allah ka kalaam hain, uss kay saare ahkaam 'adl (insaaf) par mabni aur sari khabrey sachchai par mabni hain. (2) Uss ki tilawat, hifz, fahm aur tadbur aur iss par 'amal ka ehtamam. (3) Quran hifz karne walon ki madad aur unn ki hausla afzai. 
  • Rasool Allah (ï·º) ki khayer khawahi may ye baate shamil hain: (1) Aap par Emaan ki aap Allah Ta'ala kay bheje huwe sachche Rasool hain, Aap aakhiri Nabi hain, Aap sab say zyadah sachche aur sab say zyadah amanatdaar hain. (2) Aap (ï·º) kay hukmo ki farmabardari ki jaye, Aap ki khabro ki tasdeeq ki jaye, Aap nay jin cheezo say mana kiya hai unn say ijtinab kiya jaye aur Aap ki shariat kay mutabiq Allah Ta'ala ki ibadat karna. (3) Aap ki mohabbat ko apni jaan, maal, gharwalon aur aulaad ki mohabbat say oopar rakhna, lekin mohabbat ka ye matlab bilkul bhee nahi hai ki aap kay baare may ghulu say kaam liya jaye (yani shariat ki jo hadd hai ussey bahar nikla jaye) aur aap ko aap kay muqaam say badha kar Allah ka muqaam aur martabah dey diya jaye kyun ki khud Nabi (ï·º) nay isse mana farmaya hai. (4) Aap ki zaat, aap ki sunnato aur aap kay deen ka difa'a karna. Aap ko gaali dene wala aur aap ko ayeb laganey wala kaafir hai. Aap kay deen ko bura kehne wala kaafir hai. Aap ka deen mukammal hai aur aap ki sunnat kaafi hai. Sunnato ko chor kar bid'aton ko apnana haq kay raaste say bhatak jana hai. (5) Nabi (ï·º) ki hadeeso aur sunnato ko logon may 'aam karna. (6) Nabi (ï·º) kay gharwalon aur aap kay sahaba (Radhi Allahu Anhuma) say mohabbat aur unn ki izzat karna.
  • Musalmano kay haakimo (leaders) ki khayer khawahi may darj zeyl umoor dakhil hain: (1) Unn say haq bayan kar kay unn ko naseehat karna. (2) Nek kaamo may unn ki ita'at karna, unn ki 'ayeb poshi karna, unn ki madad karna, unn ka difa'a karna aur unn kay liye dua karna. (3) Ache tareeqe say unhe zulm aur zyadti say mahfooz rakhna. (4) Musalmano kay haakimo ki ita'at wajib hai, albatta jab woh kisi m'asiyat (gunah, khata) ka hukm dey to uss waqt unn ki baat nahi maani jayegi, kyun ki ita'at sirf neki kay kaamo may hai aur khaliq ki m'asiyat may makhlooq ki ita'at jayaz nahi hai. (5) Logon kay samne unn kay 'ayebo aur unn kay gunahon ko bayan karne say bachna kyun ki iss may fitna hai aur unn ki ita'at say nikalne ka zariya hai. Nez logon ka unn ki mazammat aur gheebat may parney ka andesha hai.
  • 'Aam musalmano ki khayer khawahi may darj zeyl umoor dakhil hain: (1) Aadmi apne momin bhai kay liye wahi pasand karey jo khud apne liye pasand karta hai. (2) Mashwarah talab karney par aisa khayer khawahaana mashwarah dey jaise ki woh uss ka apna m'aamla hai. (3) Kisi musalman say mulaqaat ho to salam karey aur salam ka jawab dey, cheenkey aur 'Al-Hamdu Lillah' kahe to jawab may 'Yar-hamuk Allah' kahe, dawat dey to qubool karey, beemaar honey par 'iyadat karey aur fawt honey par janazeh may shareek ho. (4) Hadiya aur tohfa liya diya karey, koyi musalman maqrooz ho aur qarz zukane ki taqat na ho to uss ka qarz chuka dey, khud qarza wapis lena ho to aasaani dey, mohlat dey ya m'aaf kar dey. Zaroorat kay waqt uss ki madad say muh na modey aur logon say uss ki sifarish kar diya karey. (5) Uss ki musibat par khush na ho balki uss kay dukh dard may kaam aaye, uss ka mazaq na udaye, usey haqeer na janey, kisi gunah par usey 'aar na dilaye, na uss ki gheebat karey aur na suney balki agar koyi gheebat karta ho to apne musalman bhai ka difa'a karey. (6) Gaali na dey, tohmat na lagaye, 'ayeb joyee na karey balki 'ayeb poshi say kaam ley, chughal khori say door rahey aur lagaee bujhaee na karey. (7) Narmi aur khush dili ka ka bartaw karey, zulm aur sitam say parhez karey aur aziyat rasaani say bachey. (8) Jaahilo ko t'aleem dey aur ghaafilon ko w'az aur naseehat karey. (9) Ek musalman saari makhlooq ka hamdard aur khayer khawah hota hai. usey musalmano hee ki nahi balki ghaer musalmano ki bhee khayer khawahi maqsood hoti hai aur unn ki sab say badi khayer khawahi ye hai ki unhe jahannam ki aag aur shirk aur butt parasti (idol worshiping) say nijaat dilai jaye aur ye nukta choonki baaki nukton may shamil hai isi liye isey hadees may khaas taur par zikr nahi kiya gaya.  

(Shrah Arbaeen Nawawi Maktaba Islamia, Sheikh Abdul Hadi Abdul Khaliq Madani)

Post a Comment

0 Comments